kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

suhel raza – nazariya كلمات اغاني

Loading...

jab faasla bana apno mein

tab raabta nibha gairon se

mai bhi na bach saka
zindagi ke inn sawalon se

ki
haal dekhne wala ek na
magar
haalchal pohochne wale , kyu hazaron hein
ki
haath thamne wala ek na
magar
pair kheechne wale , kyu hazaron hein

bhari hua zindagi ka taraazu
afsurdgi ke bojh se

jo dartey hain zindagi ke khauf se

unn logon ko bhi
zinda_dilii ki dua meri aur se

fikar na karo waqt dikhata aise mojzay

ki mushkilon ko paar karne ke
aakhir mil hi jaate hein hausley

jabse piroyi maine lafzon ki mala

tabse zindagi ne kuch aur sawalon ko nikala
ki kyu?

kisi ke haath mein duniya_bhar ki daulat

aur kyu?

kisi ke muh mein na g_ya subah se niwala

zindagi toh jazbaton ka hai dariya

gham aur khushi ko banao, tairney ka zariya

pani se kyu darte ho, sahil jaldi dikhega

zara badlo toh apna dekhnе ka nazariya

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...