kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

spitfire a.k.a nitin mishra – black كلمات اغاني

Loading...

this sh_t is called black

lo aaj phir ek mar g_yi
soona sa wo aangan kar g_yi
par dusri thi duniya us pari ki
lo waapis wo ghar g_yi

bhaashan aur shuru mukadme
mombatti jale diye bhi
adhmara pita maa ko hai sadme
koi dard ka zehar piye ji

bas rab se ab ek guzaarish
mujhe ab na banana tu insan
rakshak hai ya phir saazish
darr lagta hai badi hinsa

koi na bacha sabhi jaanwar
chup baithe hai sab jaan kar
na shikan na chehre pe sharm hai
maar de rab ko ye naam pe dharam ke

sab dekhu aur kya baki
andha kanoon bhrast ye khaki
tasveerein lo peedita ki
bana lo khabrein nikalo jhanki
par naa! kuch na hoga
din do niklenge, dukh na hoga
deshwasi ye nind mein hain
haan koi bhi jaagruk na hoga

bujhti rahegi kya jyotiya?
kabhi nirbhaya, kabhi asifa
badi zainab thi wo titliya
par udd g_yi wo hoke fanaa

is dharam ki wo is dharam ka
ye badla hai bhai kis janam ka?
maanta na un ko behan tu
tujh ko gham kya! hatt ye janta!

main dhundta ujale hai ghana andhera
wo awaazon ka suraj nikle ho savera
wo sab bura humare upar beeta bhi hai
wo sab humari behne kya hai tera mera?

main dhundta ujalе hai ghana andhera
wo awaazon ka suraj nikle ho savera
wo sab bura humarе upar beeta bhi hai
wo sab humari behne kya hai tera mera?

main dhundta ujale hai ghana andhera
(tv news)
that horror story from kathua now which makes you wonder if india is indeed serious about saving our daughters?
sirf samay batayega ki kaise ladungi
lekin main haar nahi manungi
ladti rahungi

samachar sab g_ye hai bik
kuch baat thi aur kuch dete likh
aayenge din woh kab poochho na
kirdaar hai wo ek kalpanik

par hai garib ki sunta kaun?
koi cheekhta hai koi baitha maun
lagva nishaan woh syahi ke
hain bhool jaate ki janta kaun

desh par aayi aapda
kuch mera jis se hai raabta
sachai bolunga ho nidar
darpok tu! tera na pata

par lad zubaan ki talwar se
kyu shaant baitha tu haar ke?
bharat maa bhi to hai aurat
kahi uss ko na bhi ye maar de
to haan bol ya naa bol
par kuch to tere vichaar ho!
sab kursiyan wo hil jaayengi
jo tez teri lalkar ho

na sunega koi aap beeti
na jaat dharam na rajneeti
azaad ho ke bhi kaid mein hum
darti hai behne maa aur beti

ye sochne ki baatein hai socho
kyu mann humare yun sehme hain?
har ek burai tum dat ke roko
teri meri bhi behne hai

apraadh laakhon hai varshik
rab le lo phir avatar ek
ye bharat tha ab india
hai swagat aap ka hardik

main dhundta ujale hai ghana andhera
wo awaazon ka suraj nikle ho savera
wo sab bura humare upar beeta bhi hai
wo sab humari behne kya hai tera mera?

main dhundta ujale hai ghana andhera
wo awaazon ka suraj nikle ho savera
wo sab bura humare upar beeta bhi hai
wo sab humari behne kya hai tera mera?

ladies and gentlemen
this is spitfire
and i’m here to speak the truth

black

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...