kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

sarmad rao – qaum ki awaz – urdu rap كلمات اغاني

Loading...

alfaz nahi yeh sirf, puri qoum ki awaz
hai jawaz, is halat ka hamari kiske paas
anjaam nahi yeh abi yeh hai shruwaat
rakho thori umeed sun rahe barson se yeh baat

par umeed tou na badle gi is qoum k halaat
pai pai pe hoti jahan zulm ki barsaat
hai jurm b har jaga, bas naam ka insaaf
bekasur qaid hai aur mujrim azad

agar chalte rahe aise, hong_y sirf barbaad
na ayegi subha na kategi siyah raat
us rab ke tou aag_y na he shakal na he zaat
phir karte hein farq kyun, hamari kya auqaat

khauf dilon mein ke na sach ka koi sath de
insaaf k rakhwale, bhi khudi sach ko maat den
karta jo saaf baat hai, usi se ikhtilaaf hai

is baat ko jaan ke hua yeh inkishaf hai
bahar se mazhabi, andar se koi saaf nahi
karte gunah sabhi, koi aiteraaf nahi
lakh sawal hein par koi ik jawab nahi

qaid ki wo mehnat karo aise kharab nahi
leke jaan ksi ki milne wala sawaab nahi
qatal jaiz tou, haraam phir sharaab nahi
fakhar se hein kehte, mulk jang ko hai tayyar
par haqeeqat tou yеh ke adhi qoum berozgar
kon bekasur hai ya kon kasurwaar
aur kis kе jurm mein janay kon giraftaar
hun bezaar rahana jaye is zulm k jal mein

jahan insaaf bhi ho tou dande k dam pe
hein har taraf chalte yeh khoon k dange
naam pe mazhab ke marte hein bande
hein haraam dhande daag bhare kirdaar hein

apni is halat ke hum khud he zimedaar hein
jab 80 feesat mulk jahalat ka shikar hai
puri qoum se meri bas itni si pukar hai
uthao qalam jahalat ka girado minaar yeh

khol lo kitaab aur phenkdo hathyaar yeh
nikialo awaz khamoshi ki tordo deewar yeh
hojaen hazar tou awaz banegi lalkar yeh
yeh tha sird aik safa, rehti puri qitaab hai

gheebat subha sham nafrat be hisaab hai
soch phir hum aata kyun hum pe azaab hai
sab ban g_ye haiwan aur insaniyat nayaab hai

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...