kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

saad salman – soch samajh k vote do كلمات اغاني

Loading...

[verse 1]

phir se aaye wo election k din
mulki halaat par reflection k din
khuda ne humein dia phir se ik moqa
aaye pichhli ghaltion ki correction k din
lekin, is pe hamara kahan hai dheyan
apne masaail se hum khud hi anjaan
abhi election campaign mein masroof hein hum
tabhi sajaa daali gallian aur makaan saaray
manaein rang ralian, lagaein hum naaray
abhi jin ki jeet pe naachein ge hum
baad mein unhi k lye aaein gi gaalian labon pe humaray
bechaaray hum, tab kuch kar na sakein ge pachhtaein ge hum
besakooni se chillaein ge hum
aese zaalimo ko hum kyun chuntay hein
aakhir kab tak laashein uthaein ge hum

[chorus]

abhi bhi waqt hai, khud ko sudhaarnay ka
abhi bhi waqt hai, is mulk ko sanwaarnay ka
khudaara is zameen ko ab tum aur koi na chot do
ab ki baar bus tum soch samajh k vote do…!

[verse 2]

yeh hukmaran jo hamaray saron pe sawaar hein
yeh khud gharzi ka ik shahkaar hein
aakhrat se hein ye sab bekhabar
sirf dunya k hi talab-gaar hein
apne kiye pe nahin jab ye sharamsaar
in k sudharnay ka kyun karein phir intezar
shaitan bhi inko apna baap maanay
kahay “dad! you are my superstar”
hoshyaaaaar! ab ki baar, ban’na hai hum ne samajhdaar
election mein reh g-ye din chaar, to karna hai inka inkaar
aakhir kyun hum inki jhooti baaton ko suntay hein
kyun tarha tarha k khwaab buntay hein
baad mein ronay ka kya faida
wo hum hi to hein jo pehle in jeson ko chuntay hein

[chorus]

abhi bhi waqt hai, khud ko sudhaarnay ka
abhi bhi waqt hai, is mulk ko sanwaarnay ka
khudaara is zameen ko ab tum aur koi na chot do
ab ki baar bus tum soch samajh k vote do…!

[verse 3]

lekin apne aap pe bhi humein karna hoga ghor
jab hum se ho zayadti to machaatey hein shor hum
kisi ka haq marnay ka jab milta hai moqa
to hum bhi chlaatey hein jahan hamara chalta hai zor
chhotay chor ko lag-y buri baray chor ki chori
par chori to chori hoti hai zyada ho ya thori, i am sorry!
par vote dene ki hoti hai jab bhi baat
to hum dekhtay hein candidate ka firqa ya zaat
ya kis se humein kitna nafa milay ga
kon dega hamara ghlat kamon mein saath
kabhi biryani ki plate, kabhi hazaar ka note
le k biktay hein hum, apna badaltay hein vote
jhoot nai, sach hein baatein ye saari
hum ne maari hai khud apne paon pe kulhaari
jab tak badla na apna yeh mindset
tab tak badlay gi nahin halat hamari

[chorus]

abhi bhi waqt hai, khud ko sudhaarnay ka
abhi bhi waqt hai, is mulk ko sanwaarnay ka
khudaara is zameen ko ab tum aur koi na chot do
ab ki baar bus tum soch samajh k vote do…!

[outro]

abhi bhi waqt hai…
abhi bhi waqt hai, waqt hai, waqt hai
abhi bhi waqt hai, waqt hai, waqt hai
soch samajh k vote do (x8)

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...