kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

saad khan – rishta كلمات اغاني

Loading...

[verse 1]
dil ki in baaton ko main
kab tak yoon rakkhunga raaz hi
naraz jo apne mujhse
wo kab tak rahenge naraz hi

na raazi wo mujhse
main poochta apne dukh se
kyun jata na door tu mujhse?
kabhi kabar ye poochta khudse

main khoya sa rehta hoon
dost hein kehte saad tum lagte bhutt se
kese sambhalunga duniya
bheje ka boj hi bohat hai mujhpe

apne na kho doon ye khauf hai mujhko
sapne jo tootay wo maut hai meri
sapne aur apne jab rehte na paas
toh roshni lagti andheri

dairi ab hochuki kaafi
sath na chorhta mera wo maazi
chahun badalna main khud ko roz
halaat ki par na k_m hoti nasaazi
ye duniya aarzi
phir bhi is dil mein kitni aarzu
main bola hoon khud ko
kuch baaten krni mujhe time de aaj tu

aur kis’se baat karun, bhala kispe aitbaar karun
diwaane wo mere gaanon k par unhе nai pta k aaj main kahan par hoon
socho jo aaj na rahun main hongi har gali mein baaten
mahiney ki baat hai phir wo b na rakkhеnge yaad, jinka main aaj dhoop main badal hoon

[chorus]
apne na ro jaen
sapne na kho jaen
apnon ka sochun ya apna?
mein apna na raha
main aakhir kiska?
ye kesa rishta?

[verse 2]
shayad main pagal hoon, ya mujhe samajh nahi zara bhi
shayad main jazbaati tabhi is dil pe lagteen baaten zara si
main mara nai, murjha g_ya hoon
khud ki khushi bhi thukra g_ya hoon
ab aag_ya hoon is morh pe dil ki krrha in gaanon se akkasi

gawah wohi, jo dekhe har waqt mujhe
mere rab teri shaan pata sab sab tujhe
maaf karta raha main bhoola jab jab tujhe
maaf karta rahega aese kab tak mujhe?
kab tak mujhe rehna is daldal mein
rukta nahi ye silsila musalsal hai
bura waqt hai ya bura muqaddar
ye arsa hai kyunke waqt toh aata sab par hai

safar hai kaanton se bhara
khooni kadam lekar yahan pe khara
junooni sa dum mujhmein hua karta tha
ab sooni si num aankhen par aag_y barha

kese siyun itne zakham
wo karna chahte mere khuwabon ko dafan
karte safar pe shaq inhein na sharam
tu jooton mein chal mere jalenge charan

[chorus]
apne na ro jaen
sapne na kho jaen
apnon ka sochun ya apna?
mein apna na raha
main aakhir kiska?
ye kesa rishta?

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...