kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rap id – waqt ab gaya كلمات اغاني

Loading...

[verse 1]
apne aas paas dekh ye jaat paat pe hatya
lakh paap kiya phir aap laash mein bant g_ya
bhagwaan ne banaya uska ram naam satya
kiya insaan ne insaan kahan bhatak g_ya
bhagya bhi bhag g_ya kya bhakti kya yagya
dekha lekha jokha toh shaitan bhi thak g_ya
darr tha marne ke baad garam tel mein talte honge
par lagta talne wala khud aaj sooli latak g_ya
na darr na khauf na satan na god
sab chhod chale duniya agle din hi maut
bahut padhe likhe banne badle mausam pe maun
jiss kudrat mein badhe uska shauq rakhe kaun
jungle hata diye bageeche bana diye
kitni nasl khatam kitni kagaar pe la diye
khunkhaar drishya ishwar ke bachche bhi maar diye
aur jo kuch zinda bache thae woh insaan ne khud kachche chabha diye

[chorus]
khuda pe shaq tab g_ya khuda pe shaq tab g_ya
jab puchha maine uss se ki tu haalat kyun nahi dekhe aur woh bola
dekhne ka waqt ab g_ya
ab waqt ab g_ya
dekhne ka waqt ab g_ya
come on
ab waqt ab gya
dekhne ka
[verse 2]
gaaon gaaon mein bijli par hum andhere ki oar
dabaein gareebi ya dabaein gareebon ko bol
zorr azmaye kamzor ke aage rajneeti ye chorr
aashiyan unche khud ki gehri qabar rahe khod
aadmi aaj bhi andha na dekhe aas pas
samay dur nahi dikhega bab kaala aasmaan
marti dharti ye pratyaksh tadapti aatma
par insaan sirf check kare inka gram
iss vigyaan ki daud mein itna aage aa g_ye
shayad samay le ab kuch ek kadam peeche
rahe kudrat se neeche iss se pehle ye kheenche
inte kaam b_rs_ itne barson ka sabhi pe
ye kar de bhasm teri har rasm reet
hone wale antt ke hum khud chashmdeed
hum jiss gaadi mein sawaar woh be manzil
jisko bas mein karne chale woh khud bus chaalak hamare bas mein nahi ya

[chorus]
khuda pe shaq tab g_ya
khuda pe shaq tab g_ya
jab puchha maine uss se ki tu haalat kyun nahi dekhe aur woh bola
dekhne ka waqt ab g_ya
waqt ab g_ya
waqt ab g_ya haan
waqt ab g_ya
dekhne ka waqt
[outro]
sunn aawaz uthani ho toh bheed ki zarurat nahi hai
hamare karam hi bhadhe hain ye zameer badsurat nahi hai
aur kabhi dhyan dega khud ke shareer pe toh samjhega
sahulat ke liye bezubaan ki reed ki zarurat nahi hai
dekh main pahaadon mein rehta hoon tujhe sukoon chahiye tu aa mere ghar
main nahi bolta ki chappal khol ke aana
lekin laut te waqt mere liye unn plastic ke lifafon mein sh_gun matt chhod ke jaana
matt chhod ke jaana
bas

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...