kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

qafilah – faraar كلمات اغاني

Loading...

[hook]
sukoon hai door kahin, chahoon faraar
basta fitoor nahi, jahan qaraar
garak hoon aandhiyo mai
nasal se baaghi hoon mai
na mai ghulam tera
na mai gadaar
qissa mashoor yahi, chahoon faraar
hissey qalam mere, jaise kataar
garak hoon andhiyo mai
nasal se baaghi hoon mai
na mai ghulam tera
na mai gadaar (chahoon faraar)

[verse]
akh kath, akh wath
akh vyeth, akh chhat
akh rooh, kunn khoon
kyah so’en aakhbat
yett’i bandh kar haz gacxi siyasat
pecx’i daarav haz khyaneav riyasat
mecx’i baanan kalaai, saqafat
tash naaren balaai, shahadat
firdous mai sog o maatam ka rivaaj hai mere dost
apne rog ka ilaaj inquilab hai mere dost
harr sawal ka jawab karbala hai mere dost
dail 619355 so poor!
mazi ko mazi mai rehne nahi diya kyu?
shakal se gandhi ye harkatien n_z_ kyu?
lahu se rangi ye wardi phir khaki kyu?
kashmir k haqq mai ye saare fugazi kyu?
qisto’n mai qatal k qissey suno tum
baraf pe lahu ki chheentien gino tum
neelofar pani mai khilega nahi ab
na siyahi ka sauda karo tum
subeh k 7, masjid k speaker pe hua elaan
nahi azaan
mohalley mai cordon mai nikla bahar
lambi qatar
badien hum rakshak ki aur filfaur
chale na zor
shakk ki nazrien thi hum sab pe aur
haathon mai meri thi meri shinakhat
bada halakat ki aur
kab hoga khatam ye zulmat ka daur
wadi mai naaro’n ka shor
seene mai chale hum leke barood
hum jannat mai paley par kya hai wajood
ab mic pe fatenge manzoor ghulami nahi
psyche hai baaghi aur hum kabhi bhaage nahi
qalam sahara hum mootenge raet k qillo’n pe
jahan par likha azaadi nahi
beaiy meain barham
marham banni shabnam
thaw mouj ma wadd
inn’s osh chon banni zum zum
raadh dith kam kam
gawah son jhelum
su saath yee azaad gacxav
parr’e peyi godd’e kafan

[hook]
sukoon hai door kahin, chahoon faraar
basta fitoor nahi, jahan qaraar
garak hoon aandhiyo mai
nasal se baaghi hoon mai
na mai ghulam tera
na mai gadaar
qissa mashoor yahi, chahoon faraar
hissey qalam mere, jaise kataar
garak hoon andhiyo mai
nasal se baaghi hoon mai
na mai ghulam tera
na mai gadaar (chahoon faraar)

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...