kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

maanu – darwaazay كلمات اغاني

Loading...

[chorus]
kholo darwaazay apnay dil ke
dikhaana chahta hun mein
jo kuch hai meray dil mein
haan teri chaahat aur aahat ke sapno mein
kehna chahta hun mein kya kya kuch tujh se
haan haan tujh se
ke hain kuch meray dil mein
sawaal jin ke jawaab na miltay hain mujhay tujh se
tou bus bataati ja yehi ke kya mujh se
thi karti tu pyaar
mujh pe tha koi aitebaar
ya kya hua hun mein khwaar?

[verse 1]
hoti hai shiruaat iss kahaani ki kuch yun aisay
ke thay hum dono jawaan
niklay thay apnay raston pe
phir hua kuch yun aisay ke
rastay dono ke mil parhay
aag_y pyaar ki vaadion ke
darwaazay khulnay lag_y
haan thi tu kisi aur ki par
din humaaray saath guzray
tha ehsaas ke hai ghalat par
dil phir bhi miltay rahay
hua tha aisa pyaar na tujh ko
na mujh ko kabhi pehlay
lagta ke hum dono ek doosray ke liye hain banein
jitnay bhi thay maslay hum unn ko bas dekh ke hastay thay
ek doosray mein gum thay hum
iss pyaar ke jaal mein thay phassay
muhabbat ke iss saye ne bhula diye saaray maslay
maslay waapis aag_ye aur
hum juda hain hog_ye tou
[chorus]
khol darwaazay dil ke
dikhaana chahta hun mein
jo kuch hai meray dil mein
haan teri chaahat aur aahat ke sapno mein
kehna chahta hun mein kya kya kuch tujh se
haan haan tujh se
ke hain kuch meray dil mein
sawaal jin ke jawaab na miltay hain mujhay tujh se
tou bus bataati ja yehi ke kya mujh se
thi karti tu pyaar
mujh pe tha koi aitebaar
ya kya hua hun mein khwaar?

[hook]
khol darwaazay dil ke
kholo darwaazay dil ke
kholo darwaazay apnay dil ke
haan khol darwaazay dil ke

[verse 2]
aankhon mein aankhein daalay bethay
tou tu ne mujh se kaha ke
jab bhi tum na ho yahan
tou jalta hai ye aasmaan
tarapti hai ye rooh
adhoora lagta hai ye dil mera
tou mat jaana tum door kabhi
guzray ga na mujh se aazaab
tu hota hai tou khushian barhti rehti hain har sadaa
tera hi hai ye dil mera
hum tum hain ek, ye mat bhoolna
kabhi tum mat ye sochna ke
hum ko kya hai hog_ya?
ye dil dharakya hai sirf teray liye hi tou hai bana
tou hoti hai mujhay mushkil
samajhnay mein ye kaarvaan
ke hai agar sab aisay hi
tou kyun hai tu uss ki bataa?
sach tou ye hai ke hum dono ke beech mein jo tha
wo na milta hai sab ko yun
issi liye tou hun mein keh raha ke
[chorus]
khol darwaazay dil ke
dikhaana chahta hun mein
jo kuch hai meray dil mein
haan teri chaahat aur aahat ke sapno mein
kehna chahta hun mein kya kya kuch tujh se
haan haan tujh se
ke hain kuch meray dil mein
sawaal jin ke jawaab na miltay hain mujhay tujh se
tou bus bataati ja yehi ke kya mujh se
thi karti tu pyaar
mujh pe tha koi aitebaar
ya kya hua hun mein khwaar?

[hook]
khol darwaazay dil ke
kholo darwaazay dil ke
kholo darwaazay apnay dil ke
haan khol darwaazay dil ke

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...