kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

king nd – wapasi كلمات اغاني

Loading...

[intro _ king nd]

bhool g_ya main ki
kismat khud nahi jaagti
mehnat karni ab poori
aaj se meri wapasi

2020 yeah! guess who’s back? you ready?
king nd
lets go!

[verse 1 _ king nd]

aaj bhi zinda hoon haan! main mara nahi
g_yab tha scene se kisiko fark pada nahi
k.n.d ne liya ’l’ i just fell, i can tell
mera naam is rap game mein aage bada nahi
aadi galati meri aadi galat janta
promo mein chordi kammi, bolna hai banta
sirf kala ko dhika ke kalakar nahi chamakta
kitna aur daalu money? tu kyu nahi samjta ke
isse kabi kamaya nahi, ambani mera taya nahi
logo ko sirf aate gaane pasand jo hai funny funny
mirch masala ho, chaino wala lala ho
badi car ho, dholo daru kudiya naache sunny sunny!
fake it till you make it king is motto ko azmana
just take it and embrace it muje bole zamana
maine sunu naye naam jinke bohut bure kaam
artist bohut saare, janta ho g_yi hi kamm hai
meri likhai ki gheraiyi mein dum hai
gaane mere hard gaane mere saare bumb hai
fir b na sune log, dekhu roz, na ho growth
iss baat se aadhe artist tang hai
main tang hoon kyu na mil rahi safalta
kya faida mere hunar aur mere hustle ka
jalan se bhare jo paas bhaite kalakaar
uthaya maine kalam, sab jaali khabardaar

[hook _ king nd]
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
logo ne socha main khatam par aaj bhi jama hoon
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
parchaiyo se dekhu sab, main sach, main gawa hoon
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
aaj bhi kaagaz par apne kalam ko chalau
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
apne sk!ll se karu k!ll main poori game ghumadu

[verse 2 _ king nd]

bhule log, muje roz, bhaari boj kandho pe
bhaita khauf, soch ki off, ruka seediyo pe
aage badu? karu stop? ya badlu tareeke
dhiku shaant, band ki ankh, rooh meri kyu cheekay?
ab karta kya? apne hunar ki kardi hatya
bhatki haan! meri soch ab main fass g_ya
ladu kya? jab koi apna chura ghop g_ya
bohut bada goof main mera sab kuch kho g_ya
tang tha khud ke sath lad raha jung tha
mann tha, badi musibat ki sankhya
bhram tha, waqt kisi ke liye na thamtha
zindigi ne maari chapaid, karte hum kya?
khali ghufao main khudko dhakela
gaali deke samjau fir bhi rooh samje na
pyaara parivar paas fir bhi king akela
mann udaas firse ab king likhega
khagaz khaali, kalamkaari, bol bhari
atyachaari sochi kaali, achaiye
noch khaayi, sachai fir hosh laayi
karoch roz paayi par na khushi aayi
tabhai har jhaga, har dafa
main fassa, dum ghuta, khud utha
kalam haat mein liya har shabd likha
mic pe gaau awaaz paunche har disha
ab bhait ke apni galtiyo ka lagau main hisaab
jo mile thay muje log ginu main naqaab
log pooche muje itni der tha kidar?
ab aane waali album hi degi jawaab
reh g_yi adhoori meri khwaishe
na rahe pass jo kabi saath thay
ladu har roz apne khauf se
aaya firse laut ke

[hook _ king nd]
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
logo ne socha main khatam par aaj bhi jama hoon
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
parchaiyo se dekhu sab, main sach, main gawa hoon
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
aaj bhi kaagaz par apne kalam ko chalau
haan! haan! main aaj bhi yaha hoon
apne sk!ll se karu k!ll main poori game ghumadu

[outro _ king nd]
main aaj bhi yaha
tere baad bhi rahunga sada
haaltoh ke aage tha jhuka
par aaj bhi yaha

dekho aaya firse laut ke

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...