kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

j trix – insaan bann كلمات اغاني

Loading...

paisa aur shohrat kabhi kaafi nai
nafrat se milti nafrat khushiyaan aati nai
do pal ki zindagi me dekha itna ki ab
lagta jaise kuch bhi saala baaki nai

zindagi circus hai yaha pe saare joker
haste rehte aage log peechhe bojh dho kar
sabki zindagi hai takleefon se hi bhari
toh na kharoch usko kar madad bhala insaan hokar
wo kar jisse log yaad rakhe tujhe
marne ke baad bhi chhale tera naam leke dooje
wo bhi zindagi hai kis kaam ki
agar har samay tujhe bas apni khushiyaan
aur apni hi pareshaani sujhe
kal ho na ho
aaj jo mila hai toh
khudse aur dusro se bas
insaaniyat ke naate hod
bura na soch aage pohoch
dooje ke bhi raaste khoj
ek dusre ka sahara ban na ban kisi pe bojh
zara dekh apne aas paas ka manzar
jaat ke hai naam pe chalaate log khanjar
ban chuka vyaapaar inko jaan ki koi keemat nai
insaan hi sabse behtar
aur insaan hi sabse badtar

sir hadd ho chuki hai sarhad pe
kab tak chalemgi jung in ghaawo ke koi malham nai
likh sake jo dhang se aaj aisi kalam nai
kyoki ab azaadi ke matlab se kisiko matlab nai

tu insaan bann
soch ko daba isse pehle soch daboch le
tu insaan bann
saath reh humesha na hai badi cheez paisa

tu insaan bann
soch ko daba isse pehle soch daboch le
tu insaan bann
saath reh humesha na hai badi cheez paisa
bik g_yi hai soch teri
kyuki bhadka tu bhadkaane se
jaane anjaane me
aaya tu behkaawe me
maana jo bhi kehte g_ye
ghoom hua shor sharaabo me
dikhe na asli chehre
jo chhupe hue the in naqaabo me

ab hai sandook tumhare kandho pe
goliyaan chalaayi aakh ke bandook tumhaare kandho pe
ghayal tere apne to
ye khoon tumhaare panjo mein
ab mujhko tu bata de kya haasil hua in dango se

samajhdaar ko ishaara kaafi
toofaan me phase hue maanjhi ko kinaara kaafi
har ek khabar ko
teri soch ka sahara kaafi
kyuki kuch logo ko
bas ek paise ka lifaafa kaafi
sach bolne waalo ke muh pe lagaaya taala
pehle tha shaq
ab toh pura daal hi hai dikhta kaala
sabko pata hai
chaaro or na insaafi hai
par jab tak khud hai safe
wahi humaare liye kaafi hai?
tu insaan bann
soch ko daba isse pehle soch daboch le
tu insaan bann
saath reh humesha na hai badi cheez paisa

tu insaan bann
soch ko daba isse pehle soch daboch le
tu insaan bann
saath reh humesha na hai badi cheez paisa

read more at: https://www.lyricsgoo.com/insaan_bann_j_trix/

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...