kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

ink heart – sajda كلمات اغاني

Loading...

[tag:]
aye yo ink put some sauce on it!

[sample: nusrat fateh ali khan]
sanson ki mala pe simruun main pee ka naam sanson ki mala pe simruun main pee ka
sanson ki mala pe
sanson ki mala pe
sanson ki mala pe simruun main pee ka

[verse 1]
kahan se aya main kahan ko jana
aisi baaton par zikar karun ya likhun gana
main hounga tere se, par tu mere se ho juda na
mera yahan pe rabba koi bhi tere siwa na
tera karam hua dobara hui aamad
tujhe banata manzil jo uss ko tu milta raah par
chun le mujhe bhi tu sajde karne waalon mein
agar kisi din bhi tha main sajde karne waalon mein
yeh baatein
mehz baatein reh jaani hain
bhare huye bartan yahan reh jaane khaali hain
parda karte nahi kese daalein zabaani yе
sapna mera yahi jeetun khud se ye baazi main
baazigar
mat khol apni maazi ki kitaabon ko
jo tha wo raha nahi jo hai kisi ko nahi pata
hai sab ko pata k is jahaan mеin kuch na rakha
par jaan k anjaan hein shayad sirf yahi na pata
rooh mitti se ya mitti rooh se hai tang
mere gunahon ne inke darmyaan daali jang
hai mere sang kaafi log par wo karenge kya
jo girun ga agar mere liye honge khade kya
[pre_chorus]
naam bana liya par ban na saka namaazi main
log pehchaan leta, khud ka pata ni hai
opra mizaaj mera chokra mein aam
aag toun bachana rabba jhopra makaan mera

main toh naam ka bas jaanleva
jagg ne kya hai bana dala
mujhe sunte woh maante na
kahani sunaate meri woh jo mujhe jaante na

[chorus]
inhe kehne do
mujhe sehne do
yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
mere baad meri baaton ko yeh karenge yaad
mere aaj pe jo chahe inhe kehne do

inhe kehne do
mujhe sehne do
yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
yeh nahi jaante mujhe yahi karenge paaar
jo kare paak unhi zakhmon ko rehne do

[verse 2]
ye samajhte banna chahta star main
par main banna chahta apne baap jaisa
amal se mere saare jaane mujhe
baaki sara aarzi hai shohrat gaadi naam paisa
haal kesa puchte main theek hun par haal mein na
log dekhe bohat tabhi aata saamne na
bina maqsad nahi kaam mera
mere se mila jo kuch baant lena
samundar paar se hain aate pehgaam
jahan pe socha bhi na tha wahan pe banaya naam
yahan pe kaafiyon ko lage meri kala haraam
par mujhe ghair muslim bhi ab karte salaam
inko na pata
maine jo likha to woh inki khata
inhone suna to woh meri fatah
meri waja se kitno ne rap sunna shuru kia
bolenge ye nahi par is baat k ye khud hain gawaah
mere paas kuch bhi karne ko na saabit
kitna qaabil hoon main pata jisko pata hota shaamil
inki mehfilon mein zada na main
aur jab hota hun to chup rehta tabhi inko bhaata na main
yeh bacche saare mere jaisa banna chahte
jo main karta hun wo yeh saare bhi karna chahte
par jo main karta uspe upar wala parda daale
shayad kalakaar lagte hain khuda ko pyaare
samaaan jama karlia jo leke jana nhi
izzat deta rabb hai banda kamata nhi
mita ta aib apne khud ko mita ta ni
hashim abhi na_samajh hai baatein par banata kayi
[pre_chorus]
naam bana liya par ban na saka namaazi main
log pehchaan leta, khud ka pata ni hai
opra mizaaj mera chokra mein aam
aag toun bachana rabba jhopra makaan mera

main toh naam ka bas jaanleva
jagg ne kya hai bana dala
mujhe sunte woh maante na
kahani sunaate meri woh jo mujhe jaante na

[chorus]
inhe kehne do
mujhe sehne do
yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
mere baad meri baaton ko yeh karenge yaad
mere aaj pe jo chahe inhe kehne do

inhe kehne do
mujhe sehne do
yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
yeh nahi jaante mujhe yahi karenge paaar
jo kare paak unhi zakhmon ko rehne do

[sample: nusrat fateh ali khan]
sanson ki mala pe
sanson ki mala pe
sanson ki mala pe simruun main pee ka
[tag:]
aye yo ink put some sauce on it!

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...