kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

harass – talisman كلمات اغاني

Loading...

hook :
main to anjaan baitha
leke jahan baitha
banke toofan baitha
jiska anjaam main tha

main talismaan baitha
haan khudko maan baitha x2

verse :

sunke hairaan na ho
main bhi insaan baitha
tark bas itna sa, main to khudko hin maan baitha
phir ye intzaam kaisa
tootate taare dekhe
jab khudse hua saamna tha

ghere hain sabke aage
phir kya ? unko laanghna tha
krodh se vichlit ye har naaraz insaan kehta
mera anjaam kya tha
jab khudko hin dhundhta rehta
to kisko pehchaan pata
fal ke chakkar main lagta yahan sb kuch aam sa tha
baaten ye teekhi kyunki karwahat ko pehchanna tha
sach ke sath jo hota chal, uska parinam kya tha

kyunki sannate ke haq main shor to shaitan ka tha
andhere se dostli karli
kyunki raushni ka to naam hi na tha
par himmat se gar sildo kasht
to pucho mat khudse kuch bh
kyunki wo poshaak banta khud hi bhagwaan ka tha
nazar padte hin dikh jaati parten

jab sb kuch lagta veeran sa tha
safalta to agar ek laalsa
to asal jeevan main inaam kya tha ?
khudko pehchanna hin keemat
warna yahan aur kaam hin kya tha

main to anjaan baitha
leke jahan baitha
banke toofan baitha
jiska anjaam main tha

main talismaan baitha
haan khudko maan baitha x2

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...