kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

gravity – toothpick كلمات اغاني

Loading...

[verse 1: gravity]
ek suhana din dhal raha, hui shaam
taiyyar hoke nikla khaana khaane bahar
pasandida pakwaan, table saanf
fir kursi ne di aaram, lajawab interior aur badhiya tha swaad
waiter ko de di tip, laga lajawab khaana
bahar aake wapas jaana jaha hai thikana
nikaalna tha chaara jo fasa daanto ke beech
tabhi kaano mai sunai di ajeeb si cheez
ek cheekh aisi ki koi kuchla g_ya
hmm, mann ulajhta g_ya
“insaan tu kya hi naadaan cheez hai, kaafi bad_dimaag, bada satyanashi jeev hai
itni saari akkal hai najaane kya kami hai?
samajh na hai aati, bota barbaadi ke beej hai.”
aawaz aa rahi ungliyon ke beech se?
hmm, aawaz aa rahi ungliyon ke beech se. (yeh kya ho raha hai?)
“hona jo ho raha hai tujhe kya pata?
tu toh apni duniya mai bana bada maharaj
bhari hawa mein gandagi, bohot zyada maatra
aur garmi badh rahi jaise hum mein faasla
pedho ko kaatta mai waha se aata, apne matlab ke liye tu karwaye hadsa
tu bas dekhe aas_paas, jo paiso ka maamla
toh tu jebein bharne ko sabse aage bhaagta!(waah_waah)
[refrain]
waah, waah, mai shayad nashe mai
ha_ha, ya mai hu sapne mai
“na tu nashe mein na neend mai
arbo hai bhed, yaha bhari padi bheed hai!
na sochi tune cheezein!”

[verse 2: gravity]
“jo kursi de aaram aur woh table jispe rakha tha khaana kisse bana?
jis bistar pe li neend toh rishwat na di thhi jaha tune chhini yeh lakdiya lakh
kaatke, haath se, bejaan waha raaste
vikaas ke naam vishwasghaat hai
tere paalne mai palne se arthi pe marne se chitta pe jalne tak kiski bichchi laashein?
bansuri baji, pedho ki rone ki aawaz
par madhur woh sangeet yeh prakriti ka pyaar
hai akriti banane mai aag giri, sune na aapbeeti, insaan khele saap_seedhi
zeher ghole duniya mein, chadhe upar tak
wajood mera maara toh na hota dard
shuru hote beej se aur raakh hote antt mein
aisa kaunsa jeev jo na jeeta hai sangharsh mein?

[refrain 2]
waah, waah, mai tha andhere mein
kya_kya kar baitha apne kabze mein?
“tu bhi jaanwar ajeeb hai
buddhi jo mili toh khudko beche paisa khichne.”
theek hai, ha, ha, mai maanta hu galti
hum sab ke paas bohot akkal par na kharchi
jaha zarurat jahaan ko
maarte hum jaa rahe jeene ke aadhar ko
[outro]
mai tera vehem nahi, teri sachchai hu
khai mai khet jaha soch ki sichaai ho
hai bol yeh uske jisse talashta tu
na toothpick, mai teri antaraatma hu

grav

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...