kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

gravity – saazish كلمات اغاني

Loading...

[verse: gravity]
dekho kya hai…
keemat iss zindagi ki, jaaneja tu jaate jaa, mai shaamil hota mehfilo mai roz
teri baahon mai sukoon tha, tarasta mai aawara ab sharaab ne uda rakhe hai hosh
meri kismat ko dete sab kos, nasha mujhe lagti ab kokh
paida hota firse jab bhi khokla mai mann se, raas nahi aaye tera shor
bawandar hai mann mai, ghumta mai gol, berehem hai baatein tujhe mera na hai mol
shehnaiya hawaon mai jab 7 phere tujhse, yeh rishta tune aaj diya todd
wapas mai aata hu roz, mukarke bhi tu hi har roz
ab jab bhi mai chalta inn raahon pe haske sab kehte yeh tujhme madhosh

[bridge]
madhoshi ka aalam, na duniya mubarak
mai chor kuch palo ka bhukha
bas khushiya hai maangi, jaise maangi izzat
mil jaaye toh lagta ajooba
dil dooba par taira nahi
ghaav munasib par gehra nahi
uss darpan mai bhi kya ab dekhu
yeh jo mai hu chahta woh chehra nahi, tera chehra wohi

[hook]
saazish kе saathi sabhi, yeah, chehro se waakhif nahi, yah
chithiyan gaano mai likhta hu aur tunе jalaye sabhi, yah
tu na sune baatein meri, par mai tera malik nahi, yah
ashk samate nahi, tum milke bhi nazre milaate nahi, yah
[verse: gravity]
milke bhi nazre na mili, hai chaahat sabhi ki par tu tha mera
mujhko khicha jaise sheesha, par tune toda nazuk dil yeh mera
ab tukdo mai jee raha, kuch bhi na poora, adhura hai jeena mera
paheli mai uljha, suljha de ab aake jo bhi tune chhina mera

taqdir ki hai saazish, aur mai uska shikaar
kiya na tha khayaal, kyu kar diya yeh kaam?
moh na maaya, mausam sa na koi tha badlaav
mai aisa na insaan, kyu na mai le lu jaan?

ab teri yaadon ko bhuladu, saari tasveerein mai chhupa lu
jaage thhe jitne armaan sabko nashe ke bahaane mai sula du
yaadon ka gehra samandar, bawandar banake ab khudko mai dooba lu
teri parchai ko khoju aur paane pe usme khudko mai chhupa lu

[bridge]
madhoshi ka aalam, na duniya mubarak
mai chor kuch palo ka bhukha
bas khushiya hai maangi, jaise maangi izzat
mil jaaye toh lagta ajooba
dil dooba par taira nahi
ghaav munasib par gehra nahi
uss darpan mai bhi kya ab dekhu
yeh jo mai hu chahta woh chehra nahi, tera chehra wohi
[hook]
saazish ke saathi sabhi, yeah, chehro se waakhif nahi, yah
chithiyan gaano mai likhta hu aur tune jalaye sabhi, yah
tu na sune baatein meri, par mai tera malik nahi, yah
ashk samate nahi, tum milke bhi nazre milaate nahi, yah

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...