kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

ekatra – dekhlo aake كلمات اغاني

Loading...

[intro]
dekhlo aake x2
haan
dekhlo aake x2
kya?
dekhlo aake x2
chal
dekhlo aake

main jo bolu usmain sab sacchayi hain
kuch acchayi na hain, sab burayi hain
tujhe sunna hain to sun
warna pehli fursat mein nikal
nikal chal
chal
nikal
ekatra

[verse 1]
yaad dilau kya main tumhe kuch baatein jo kayi barso se is desh mein zinda hain?
kureetiya tum kehte ho unko fir aaj tak tumne kyu unhe zinda rakha hain?
navjaat ko garbh mein he maarna kya yhi sab tumhare usoolo mein likha hain?
wo bechri kuch bol bhi ni sakti to socho tumne aajtak kya-kya kiya hain?
saval mere hain, main poochunga
samaj sabka hain to jeenedo
kya aadmi kya awrat sab equal hain
befizool ke sawal mat kro
akhe khol ke is desh pe tum dhyaan do
bahu betiyo ko apni aadar sammaan do
tbhi to mooch upar karke chaloge warna
izzat tumhari giregi ye janlo
is bharat mein poojte deviyo ko to kyu lete tum bacchiyo ki jaan ko
phool si wo nannhe kaliya hain unse he mehkega ghar tera usse kya anjaan ho?
budhape mein kon dega tera saath?
pooch raha hoon tujhse is sawal ka jawab de
awrat he kaali, awrat he seeta, us awrat se tu bana
is baat ko to jante
beta tum jo ye beta- beta karte ho wahi bete tumko aaj-kal ghar se nikalre
to dahej-prtha, kanya-bhroon hatya, baal vivah jaise khyal dimag se nikal de
jiska jo jee chahe wo pehne tum hote he kon ho usko sikhane waale
tum bhi to dhoti se pent pe aaye… humne kuch bola kya?
saale sadko pe chalte ye log comment karte “dekh… usne kya pehna hain”
apni in aakho ko aabu mein raakh, tu bhi ek bhai hain teri bhi behna hain
kahe ka mard jo awrat dabata hai
betiyo se badhke beto ko chahta hai
konse sann mein jeete ho tum sab
konsi reetiyo ko ab tu ginata hai
2019 hain ye beeta dor na ke tum hame sikhaoge ke ye kro or ye mana
sabki apni alag zindgi hai jo jaise chahta use wese he jeene de na
baad bhi aazadi ke hum sab gulam jaise hain
faltu ki reetiyo ko kabr mein he gaad de na
or dhyaan dena uski kushiyo pe daatna bhi magar dher saara pyaar dena
apne chote-chote nazuk se haatho se jab wo teri ungli thaame usko bhi sahara dena

[chorus]
dekhlo, dekhlo, dekhlo aake
tamasha chalra hein dekhlo aake
hey ram! hey ram! karte ye rehte
khud is samaj ko narak banake

[verse 2]
maa-baap ki sikhayi saari tameez ye ghar pe taang ke aate hein khoonti pe
ladkiyo ke peeche inpe ghoomne ka petrol hain
ghar waalo se kehte khud chale jana doctor ke
gaadi inhe chahiye, party inhe karni hai
not ye udate baap ki kamayi ke
wahi baap inhe keh-keh ke thakliya
zindgi pe dhyan de ismai teri he bhalayi hain
ye kaha ja raha hain desh hamara
ab to khatam sa ho gya hain bhai chalra
yaar dost bhi aajkal naam ke he reh gye hain
kam nikale or phir laat mare
hawas bhari hain inki khopdi mein
aaj-kal neend na aati inhe jhopdi mein
har koi chahta hai bangla or gaadi
kaam na karna pade sab nikle lottery mein
inke bhashano mein jhooth he milega
camaro ke samne bante ye mahan hai
koi saal rapiest hain koi saala gunda
sab saale bharasht hai ye choro ki jamat hain
rakaat hain bhari padi is desh mein
sawa-so-karod mein se bohat kam hain kaam ke
jo kaam ke hain, wo kaam mein lage hain
baki dikh jayenge naake pe ladkiyo ko taadte
koi aisa desh na bacha j-smai rape na hua ho kisi ka bh aaj tak
inki aadhi umar nikal g-yi, “nahi” ka matlab ni pata kisi ko bhi ab tak
inka pyaar hawas se shuru, j-smo ki bhookh inhe isse zyada kuch ni
ye na dekhte hain umar ab kisi ki, choti bacchi hai saale wo koi bott ni
aakho ke andhe, dil inke kaale
soch itni gandi ab saaf lagte naale
aane waala kal aise chutiyo ke hawale
isse accha apna aaj khatam kar daale
sab aaj-kal apni jebe bharne main lage hain
inhe neend bhi na aati, ab ye darne bhi lage hein
inke not koi cheen ke na le jaye khof se ye
apno se bhi aaj-kal ladne main lage hain
dousro ke gharo mein nazre gadaye hein
waqt itna faltu hein ya bojh ho tum desh pe
karne ki bari mein bekar hein ye desh kehkar nikal lete hain beta ye videsh main
insaniyat khatam hai insano main se
bharosa karne se pehle sochte hai log
jo inki haan mein haan rakhe wo acche baki sab chuiya hain
andhe hein, behre hein, goonge hein, langde hein
seedha apahij main kehdu inhe
itna sab hote hue bhi ye chup hai
or kehte bhagwan tu sab de mujhe

[chorus]
dekhlo, dekhlo, dekhlo aake
tamasha chalra hein dekhlo aake
hey ram! hey ram! karte ye rehte
khud is samaj ko narak banake

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...