kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

dhruv mark – meri kala كلمات اغاني

Loading...

mai jaagu saari raat mujhe nind nahi aaye
taaro ko mai du meri dil ki gawahi
vo puche mera haal mai bolu unhe thik

vo sune mere gaane,na dard de sunaayi

kya tu sunega jo dil ki mai bol du toh?
mere raaz tere aage thode khol du toh
jis rap ki wajah se sab chodd g_ye
kya hi faayda wo rap hi mai chodd du toh

karu khud se hi baatein bina peeye muje hosh
niklu shaer pe akela mere busy saare dost
chale koi to ek beat is safar ke mai beech
likhu dil ke ye haal aur utaru aadhe bojh

peeche bhot hu mai kitna aur late karu
mera samay aayega mai yahi wait karu
muje zindagi se raha ni lagaw ab
log sochte mai unse kyu hate karu

paisa paas ni to uska hi worth dikhe
baaki zindagi ka mila khaas arth nahi
jo bhi chodd gye na unse koi harz mujhe
jinse pyaar hai unke liye lafz nahi

kara kaam saari raat chote room mein bitaayein
esi bhi kya art hai rishte kha jaaye
kare mann ki mai kaat lu kalaayi
i′m a loser mujhe rishte sambhalne ni aaye

sambhala jabse hosh, maine kiya tha sabar kabhi fal nahi mila
dhunda ye jahaan sara mile the makaan kahin ghar nahi mila
ankhein ye talashti hai mil jaaye sukoon, to wahin thoda ruku
aise chheen na hi sab to hai behtar isse khuda meri chheen le tu kala
meri kala

korey kaagazo pe likhta aukat mai
tu bta yaad karega kon mujhe mere baad mein?
seene mein dhuaan ye aag haath mein toh
hafte mein 4 din mai maut daalu glass mein

peeyu raat mein na koi mera jeene ka thikana
likhu geet nashe mein bana peene ka bahana
mera dil khali,jeb khali, ankhein bhari
dekhe kabhi to tu jaan muje seene se lagana

mere 2 roop hai ek ko hai teri fikar
dooja haavi uspe kare na jo tera zikr
usne apne jaate durr dekhe choti umar
par vo haara nhi aur kehta he will never giveup

teri aankhon ke aanshu ko mai bhi chheen’na chahta
jo hoti meri bhi aukat aise geet ni gaata
khuda fir bhi tera karu shukriya
tu aise dikhata na din to mai bhi seekh na paata

sambhala jabse hosh, maine kiya tha sabar kabhi fal nahi mila
dhunda ye jahaan sara mile the makaan kahin ghar nahi mila
ankhein ye talashti hai mil jaaye sukoon,to wahin thoda ruku
aise chheen na hi sab to hai behtar isse khuda meri chheen le tu kala
meri kala

sambhala jabse hosh,maine kiya tha sabar kabhi fal nahi mila
dhunda ye jahaan sara mile the makaan kahin ghar nahi mila
ankhein ye talashti hai mil jaaye sukoon, to wahin thoda ruku
aise chheen na hi sab to hai behtar isse khuda meri chheen le tu kala
meri kala

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...