kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

brave wrld – manzil كلمات اغاني

Loading...

hook

chala main manzil ki or ye saare dekhe mujhe nafrat ki aakhon se

ladaa main apno se roj toh koi paraya kya mujhe haraa bhi de

aansu ke moti banake main likhta hu gaane jo bikenge lakho mein

sapno mein aate farishte , jo kaano mein bole tu rukna jara bhi nai ×2

verse

ghutno pe chalna sikha , gir ke uthna phir uthke sambhalna bhi jaante

mushkil toh naam ki chiz irade atoot toh parwat bhi langh de

insaan ke pav toh chaand pe phir kyu teri seema bandhi aakash mein

abhi toh safar ki shuruaat dhere se naapenge pura bramhaand yeh

lohe sa tapega aag mein tabhi toh khilega thokar ki maar mеin

warna toh kitne hai kaanch se bikhre jo nazuk sе jakdan sath mein

bolenge sab tere sath mein jaise makkhi aati fulon ke paas mein
par saare g_yab jo saajh mein murjhaye doobi tu kiran ke sath mein

tabhi tu kaaton sa ban
iraade kathor tu paani sa ban
zamaane ki hod mein zalim na ban
aazadi ho kaid toh baagi sa ban

tabhi tu ravi sa ban
wo ghor andhere ki pehli kiran
umeed ke sagar ki uchi lahar
jo dube ko jode kinaare ke sang

mujhe ni pata ye baatein kitne sunke karne wale hai relate
par jitne bhi karne wale unse itna kehna abhi hui na late
aur aakhri saas jab lega tu mann mein kudhse tu karega debate
pachtane se hoga kya jab naam ke aage tere lagega late

speech

hook 2

chala main manzil ki or ye saare dekhe mujhe nafrat ki aakhon se

ladaa main apno se roj toh koi paraya kya mujhe haraa bhi de

aansu ke moti banake main likhta hu gaane jo bikenge lakho mein
sapno mein aate farishte , jo kaano mein bole tu rukna jara bhi nai ×2

verse 2

maut ki chadar lapete main khada darwaje ke samne
kehna sangeet ka koi wajood nahi tu kar kaam koi aur paise kama le
main sunta na unki aur karta hu manki
wo dekhe mujhe bole tu thoda sanki
zamane ki soch ko karke alag kudhse
naapna chahta ye ambar aur dharti
main haar bhi jau toh dukh nahi mujhko
safar ka maza sang sangrash ki masti
dikhane ka shouk nahi mujko aur na dikhawe ki zindgi jeene ki khushi
ye log dikhawe hii karte reh jayenge
marne ke baad bhi sunenge gaali
aur main jeete jee bhi bana du amar kudhko
marke bhi zinda kuch esi hi hasti

hook 3

chala main manzil ki or ye saare dekhe mujhe nafrat ki aakhon se

ladaa main apno se roj toh koi paraya kya mujhe haraa bhi de

aansu ke moti banake main likhta hu gaane jo bikenge lakho mein
sapno mein aate farishte , jo kaano mein bole tu rukna jara bhi nai ×2

brave bolte kya

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...