kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

bad ronny – manzil كلمات اغاني

Loading...

aye!
bad ronny
being real haan !
check ! check !
aye!
let’s get it !

jaane kitne taqleefein hai zindagi mein
par aadat hai meri muskurane ki
bohot kuch chhod aaya piche maine
baat na karo wapas jaane ki
manzil bana hai ab music mera
nasha main karun bas gaane ki
talab lagi hai ise paane ki
nasha main karun bas gaane ki

manzil mile na mile ye to alag baat hai
koshish bhi main na karun ye to galat baat hai
badalna hai mujhe jo mera ye haalat hai
jabab bhi dena hai jo puche kya aukaat hai

lagta mujhe bhi dar faasla dekh kar
par main badta jaun hausla le kar
waise to zindagi mein kaam anek par
par main khud se kahun kuch alag kar

aaj jo khwaab sirf khwaabo mei nazar aye
kaal wo khwaab mera haqeeqat ban jaye
artist main aisa banu har jaga chaye
mere bhi fans ho jo mera gaana g_ye

kehen ko to do lafz hain ummid or hasrat
ban te nahi pehalwan bina kiye kasrat
dunia ki ulajhano mei tu beta fasmat
har kisi se sikh le kisipe tu hasmat

wahilog hotein hain manzil paane wale
jinki hotoon pe hasin paanv ho chhale
milte hai raho par dilasa dene wale
kudh ka pata nahi jinko kaha jaane wale

jaane kitne taqleefein hai zindagi mei
par adat hai meri muskurane ki
bohot kuch chod aya piche maine
baat na karo wapas jaane ki
manzil bana hai ab music mera
nasha main karun bas gaane ki
talab lagi hai ise paane ki
nasha mein karun bas gaane ki

kausish mei karoon roj behatar hone ki
mera to koi nahi dar kise khone ki
aansun nikal te nahi wajah bohot hai rone ki
manzil jab door to samay nahi sone ki

kisi or ko nahi mujhe khudko harrana hai
manzil alag to alag raasta banana hai
do waqt ki roti nahi izzat bhi kamana hai
jeene nahi dete warna zaalim zamana hai

yakeen mujhe bas aapne irado par
khudse kiya g_ya har ek wado par
dhyan nahi deta kisi k salaahoon par
akela chalun main manchahe raho par

ban na hai kuch to halato to se darna kaisa
alag kuch kiye bina dunia mei marna kaisa
artist to sabhi yaahan main nahi unke jaisa
karne do sabko , main nai karta paisa paisa

halat jab tha mera battar se battar
khud ko tarasha maine jaise hoon pathaar
gaane likhun mei kaise zindegi se ladkar
sunlena gaana mera jaake youtube par
jaane kitne taqleefein hai zindagi mein
par adat hai meri muskurane ki
bohot kuch chod aya piche maine
baat na karo wapas jaane ki
manzil bana hai ab music mera
nasha main karun bas gaane k
talab lagi hai ise paane ki
nasha mei karun bas gaane ki

bad ronny !!

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...