kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

arooj aftab – diya hai كلمات اغاني

Loading...

diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho nama_bar hai kya kahiye

ye zid ki aaj na aave aur aae bin na rahe
qaza se shikva hamen kis qadar hai kya kahiye

rahe hai yuun gah_o_be_gah ki ku_e_dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye

zahe karishma ki yuun de rakkha hai ham ko fareb
ki bin kahe hain unhen sab khabar hai kya kahiye

samajh ke karte hain bazar men vo pursish_e_hal
ki ye kahe ki sar_e_rahguzar hai kya kahiye

tumhen nahin hai sar_e_rishta_e_vafa ka khayal
hamare haath men kuchh hai magar hai kya kahiye

unhen saval pe zom_e_junun hai kyuun ladiye
hamen javab se qat_e_nazar hai kya kahiye

hasad saza_е_kamal_e_sukhan hai kya kijiye
sitam baha_e_mata_е_hunar hai kya kahiye

kaha hai kis ne ki ‘ghalib’ bura nahin lekin
sivae is ke ki ashufta_sar hai kya kahiye

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...