kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

arjee – mind behind كلمات اغاني

Loading...

(hook)
gaana nhi buss, meri dil ki zubaani hai ye
shant rehta hu, meri dil ki tsunami hai ye
mere khawabo ko mujhse durr karne pe ye lage
zimmedariyo ke liye meri kurbani hai ye

(verse)
akhein kar le band aur duniya ko bhul ja tu
kamra bandh karke pankhe se latak ke jhul ja tu
koi tera apna na, ye baat daal zehn mein
they ignore you jaise, raaste pe jami dhul hai tu
tu na bana waisa, jaisa wo chahti thi
bar bar tujhe, wo aake samjhati thi
dekhega na koi tujhe, teri nazro se
ab dil tera bhari hai bhai, pyaar ki karzo se

tere jaisa insaan, kisi ka nhi hoga
sunn apni dil ki, tujhe kisi ne na roka
auro se rishte kyu banane chala tu
jab apne hi baap se tera hota na samjhauta

kyu hai tu pareshan, bata dikkat kya hai teri
tu chahe kisi aur ko parr shiddat se wo teri
tu panne palat raha kisi galat kitaab ka
aur andar se tu toota kitna, uska hisaab na

tune dekhi maut ko hai, kaafi kareeb se
shayad likhi na ho khushi, haan teri naseeb mein
roz roz ka kalesh kyu hota tere ghar mein
buri waqt nangi nach rhi hai tere sar pe

ye kaisi parikhsa leri zindagi tujhse
tere chahne wale rakhte aas bhi tujhse
3 makan, baap ka paisa bhi hai kaafi
parr zehni sukoon? issi ki hai kami

(hook)
gaana nhi buss, meri dil ki zubaani hai ye
shant rehta hu, meri dil ki tsunami hai ye
mere khawabo ko mujhse durr karne pe ye lage
zimmedariyo ke liye meri kurbani hai ye (×2)
(verse)
khudse pyaar nhi, tujhe dusro se matlab
firr kyu na seh pata, jo kar jate hai ye kartab
apni dil rakhdi kholke tune sabke samne
ab kyu ghin aati hai tujhe apne naam se

kaha g_ye wo log jo kal thhe tere saath
kaha g_ye wo dost jinko manta tha khaas
kaha g_ye wo sab, mujhe de tu jawaab
chale g_ye kyuki asal mein na thhe wo tere paas

insaano ke liye khwabo ko dafna diya tune
dusro se muqtalif, sapna dekha tune
guroor dekhe teri, ye na dekhe teri saadgi
jiss baat pe thhe bichde, wo choti si ek baat thi

tu khuli kitaab, parr inko padhna hi nhi
sab soche khudke liye, sang badhna hi nhi
kisi cheez se ab pyaar tujhe karna hi nhi
dil na toote, toot jaye saare sapne hi sahi

tere saath baat kare nhi to tere baare
ye soche reh nhi sakta tu bin sahare
upar jana inhe humesha, nhi parwa inko neeche ka
patthar mare dusre pe, khudka ghar hai sheeshe ka
chor ye sab baatein, ab dhyaan de tu khudpe
pyaar chahiye to pehle pyaar kar tu khudse
sawal tere zehn mein, jawab dil mein hai
zara akele mein baat kar liya bhi kar khudse

(hook)
gaana nhi buss, meri dil ki zubaani hai ye
shant rehta hu, meri dil ki tsunami hai ye
mere khawabo ko mujhse durr karne pe ye lage
zimmedariyo ke liye meri kurbani hai ye (×2)

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...