kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

anaïs – psycho كلمات اغاني

Loading...

[verse:1]

din raat karme me band ghar walay kehta psycho
main bola maa hissay k meray khana deday bhai ko
bhai mera janta main hustle karun roz
likhun geet apne qaatilana ho k overdosed
dil lag_ya kam say par yaad atay yar dost
dost karen text roz milte the ham yar roz
kehtay jani sad kyun hai? zinda hain na yar teray
chill kareng_y jani aja bethay aj ham khan broast
milna to main chahta par kehta k main theek hun
khud ko khud main kos raha k kyu main itna dheent hun
dil ki baaten aj is beat pe baha raha
mujhay sun k bhi na samajh sakog_y itna main ajeeb hun
kahani nahi bana raha, ye hai meri aab beeti
lafzo say nahi saja ra ye likhai bas ek rat ki thi
raaten this so kali sari rehta tha main roug mein
khushi me to saray sath, tanha tha main soug mein

[verse:2]

waqt ki meherbani hai kiya mujhay sakht
sakht the halaat mera tooti nahi zabt
sangat yari, yar dost, chor chuka sab kuch
taste hain talkh magar sath hai wo rab
rab ka hai sahara ab ye zindagi bita raha
zindagi me morh tha jab zindagi gawara na
wo thay meri taak me, kab main chor jaunga
anas bana nas betay wapas ab main aaunga!

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...