kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

akash vaigyānik – dastaane كلمات اغاني

Loading...

ye kaale, kaale dastaane
pehen kar
raaton ko

kahaan ko jaate ho?

jo dushman the puraane
sabko kisi naa kisi bahaane
us khoofiya
tehkhaane mein
kyun le g_ye?

kal raat ke shikaar
ko lagaane
thikaaney
dastarkhaane mein
din_din bhar yoon akele
kya karte ho?

ye kaale, kaale dastaane
yoon rakhe hain sirhaane

betaab, chhatpataati
ungaliyon ke
ye saare kaarnaame
betaab, chhatpataati
ungaliyon ke ye saare kaarnaame
inki chhaap
chipaane ki ye saazishein

to lo tumhein dekh kar
kaale, kaale se dastaane
jo the maine samhaaley
aaj nikaaley
in ungaliyon ke liye

jab
se pehene hain
ye kaale
kaale se dastaane
jis moo pe the taraane
uspe taane
naa jaane kyun rehte hain

to lo ye kaale
kaale se dastaane
maine hain utaarey

kaale, kaale ye dastaane
karke tumhaare hawaale
chalaa main
udan tashtari ki ore

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...