kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

aham – kaash كلمات اغاني

Loading...

kash maine, nahi dekhe hote sapne hazaar
kash mujhe, nahi milti ye muft ki haar
kash maine, beej boye hote karmon ke sau baar
kash mujhe, sirf kaam se hota saccha pyaar

ye kash aaj kyun puchha..
ye yaad aaj kyun aayi..
jab kaam roz sacha..
aur log dey gawaahi..
inn baaton ki gunjaaishein..
masti kab ki gaayab hai
pehle likhte mann se..
ab mann ki khwaahishein..
kash mujhe, log sune hazaar
kash meri, baaton pe ho gaur..
kash main, dekhoon duniya kuchh aur..
kash mera naam gunje..
aur tu naache purzor…

kash maine, nahi dekhe hote sapne hazaar
kash mujhe, nahi milti ye muft ki haar
kash maine, beej boye hote karmon ke sau baar
kash mujhe, sirf kaam se hota saccha pyaar

tu kaam kar..
fal ki chintaa naa kar..
ye linein maar kar..
nikla seena taankar..
har nukkad_mazaar par..
kya kiya __ bata marks ab..
kya ukhaada __ chadha stage par??
phir partic_p_tion ka paper
this ain’t us..
win_win / run_run..
else you will be dead son..
bana apna vision..
and follow till the end..
yahi niglaa aur jiyaa maine..
khwaab mera piyaa maine..
kaash paas
bachhe aas

kaash paas
bachhe aas

kaash wapis
jaage aas

kaash aas
rahe khaans

marne ki baaton ko..
main roz taalta hoon..
main na dosh daalta hoon..
main woh khoj paalta hoon..
j_sme roz aag sa hoon..
dil se bojh phek karke..
main ek soch paalta hoon..
phir ye dor dekhta hoon..
udhar aasman sa woh..
mera khwaab roz ka hai..
mujhe taakta hai..
mera taap naapta hai..
faasle ko bhaapta hai..
raaste woh jaanta hai..
intezaar mein ..
mere intehaan dekhte..
zindagi ke kuyein
kankaron ke shor mein..
uss chhor ki ashaanti..
manzil maut si khadi
pahar pahar
ghadi ghadi
bachoon phiroon
gali gali..
drishya do hari_hari..
sookhti si ruh meri..
chhoot_ti si bhook hai..
thookti ye khoon hai..
maangti hai kaam ye
maangti har shaam ye

maangti hai jaan ye
maanti hai jaan ye

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...