kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

aham – insaan كلمات اغاني

Loading...

insaan ne jungle se
shahar kitne bana liye
par jungle ki aadatein
na chhor pa buzdil rhe
saare jaanwaron se
inki rishtedaari bane
kutton ki fauj mein
khud ko sher, cheeta… kahein
lomad si harkatein
khud katal kar
kahein kaafir humein
maanav ki maut mein
maatam karein
nafrat ke saare silsile
jaane kahaan saare insaan mare
zabaan mein zehar
zillat har pahar
banaawati khabar padh kar
kahaani ke zer zabar
mein tode itne ghar
jode na humsafar

khud ko juda kar insaaniyat se
magar bann ke na ro tu insaaniyat pe
jab jaahil ki rasm haiwaniyat hai
aur jawaaz tu dhunde kitaabi_kasmon mein

shakahari jeevan mein
masahaari kasme
noch khaane ki rasmе
insaan dekhte hee jashn hai
woh aaj uss bakre ka husn hai
duniya mеin bas ek main
aur mere aham ka sach hai
baanki saare kharij kism hain
seedhi si shakal dekh ke
khaandan ka naam padhe
jahannum dharti pe banaaye
jannat ke sapne gadhe

jaane kahaan saare insaan mare
jaane kahaan saare insaan mare
kaisa beeta tha bachpan
kya khelta tu hardam
kaise bharti hai nafrat
kaise na dil mein hui harkat
jab bachpan tera toda
tere mazhab ne
jab farishton ki kahaani
ke liye tum ladte
ye sirf ek janm hai
bina matlab ke
ye dar khaata tere wajood ke har lamhe
thoda sach bhar le
apna toh saga ban
apni barkat mein
nashe mein tu hai dhutt
khud ki nafrat mein
jaise jala tha woh tera
bachpan ka ghar
vaise jale
saari duniya
ho sab beghar
yahi tera sachha
maksad hai

mujhe pata
tere pyaar mein
mere pyaar mein
thodi darkaar hai
sadi sarkaar hai
khadi kal ki diwaar hai
tujhe jaanwar kehna bhee dhikkar hai
soch mein sawaal bhar..
khod nikaal hazaar sach..
sirf ishq ki karega ibaadat
baanki saari jhooti milegi banaawat

jab dekh paayega tu apna asli chehra
ginega gunaahon ka apne pehra
paayega khud mein shaitan ka dera

bandook tu uthaayega khud
aur faut hoga tera dastoor
ek yahi hogi teri sachhi kartoot

aur duniya kahegi..

jaane kahaan saare insaan mare
jaane kahaan saare insaan mare

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...