kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

abxom & dark duke – yaad كلمات اغاني

Loading...

[intro: abxom]
yaad nahi
yaad nahi

[chorus 1: abxom]
mujhe yaad nahi, waqt ke saath hi chala main
mujhe yaad nahi, aakhri baar ki baat kya
mujhe yaad nahi, tere sawal aur jawaab
yeh mujhe yaad nahi
mujhe yaad nahi, yaad nahi
to baksh de, zindagi ab lage bas mein
main haste hue jahaan bhi chhod du
toh yeh had hai
karni paar jaise koi zid hai

[verse 1: abxom]
darkinaar jo kare masle, yeh zid hai
bas ke paar jabtak na girte
badmijaazi mere dil mein
khaas thay tum bhi dil sey
saasein basi j_sme
raaz hain dabe kitne
tha jo merey hisse
aur rakkha paas apne
kaafi paas apne
bas na kara zahir kabhi
hua khud ka madadgaar aur bana kaafir tabhi
tu na saamne par teri ibadat toh haina
milli aankhein rab sey sau hazaar baar
raha kaafi kuch kehna
kya kamzor tere samne main
mera zor tere samne na
yeh mehfil adhoori aur madhoshi haram tere samne
ye hath tere samne
par is bayparwahi mein maza
isko manu bay_gunahi main
in saason sey lipte lafzon ki aadat hai
iradon mein bhari jo khata
lekin har harf ibaadat hai
bas yeh haalat hai, yeh kaagaz hai
aur neeyat ko chahiye bas raza
mere raaz se tu waaqif
kaash main na kafir
jabtak mulaqaat tujhse aalim
main bhoola idhar tasbeeh, kalme
aur azaan jo thi haasil
yaad nahi tera paigham jo tha haazir
yaad nahi tera kalaam

[chorus 2: abxom]
yaad nahi, waqt ke saath hi chala main
mujhe yaad nahi, aakhri baar ki baat kya
mujhe yaad nahi, tere sawal aur jawaab
yeh mujhe yaad nahi
mujhe yaad nahi, yaad nahi
to baksh de, zindagi ab lage bas mein
main haste hue jahaan bhi chhod du
toh yeh had hai
karni paar jaise koi zid hai

[verse 2: abxom]
kaun mere saath jiski jung hai khudse
ya us parvardigaar sey
thi jo zang is dil mein
usko baaton sey nikaal ke
sambhaalta un raaton ko kuch khwaab sey
kaun woh jo deta saason ko awaaz yeh
kya likkhi maine ghazal_e_haraam
zehan sey aati awaaz hai kamaal yeh
dhundhe bas mohlat na darre yeh azaab sey
maange duniya ka khitaab
na manzoor jawaab jo kitaab mein
awaam lage bezubaan baithi hairaan
yeh duniya tere arsh sey nikle kamaan ki mohtaaj
kamaal ki yeh baat
jaan_e_maalik maange har ek saans ka hisaab
varna khaak sey nikaal ke
hawale main jo aag ke malaal mein
shayad mere paak na khayal yeh
kinarey baitha jaagta misaal main
na maanta riwaaj
humdardi na chahiye filhaal
yeh manmarzi zubaan hai
khayal is duniya ke liye kaafi alag
yeh kaafi galat
kaafi sabaq seekhe maine
beete din diye maine kaafi adab
lekin ab main kaafi alag

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...