kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

abxom & dark duke – kya pata tha كلمات اغاني

Loading...

verse 1 – abxom

jo aj aaya hu mai lafzon ka ye khel leke
bolta hun kaash in hi lafzon se tum jhel lete
mail hote ekdusre se, saari nafrat dher hoti
der hogai, mohabbat shayad phir hogi
isi ummeed me mera vatan ye dekhta hai
insaf-munafa huk-mat k is khel ka hai
dhong hai ye boltein hain jo bhi note hi hain
khojte to wobhi, chode jo na kursi apni
chord-do tum susti apni, khojo inki galti
inki neeyat me hai khot palti, maalik apni marzi
ke zameer inka murda, saans hi lete bas ye
dil hai inka kala aur zehar hi toh ugalte bas ye
raajneta kya wazir-e-azam sare ek se
nazrein inki kursi par, awaam ko ye na dekhte
asliyat jo dekhein inki wo to cheekhte hain phir
hashar hota unka jo tu dekhle to cheekh de!

chorus – abxom

humko kya pta tha?
jab na baatein humne seekhi
humko kya pta tha?
kya sach? kya raajneeti?
humko kya pta tha?
jab thi baatein haseen!
humko kya pta tha?
kya ameer kya gareeb?

humko kya pta tha?
na bach sakta koibhi!
humko kya pta pta tha?
ki ye kaatein aur boye bhi
humko kya pta tha?
insaan ya shaitaan?
humko kya pta tha?
insaan hi maarta insaan

verse 2 – abxom

meri ye seekh le, hain desh ke jo ye haalat
gaur kar is bat pe agar jo tu hai theek thaak
meri ye seekh saaf pahuche ‘gar jo aas paas
khas meri baatein sunke log bolein wah janab?
bhooka betha dekhta ye shaklein duniya ki
haste-rote logo se masroof hai ye duniya bhi
wo kya dheyan denge, lekin jaan denge
jaan lenge! dharm aur khuda ka naam lenge!
wo kaapta hai, soch ke khuda kyu uska laapata hai?
jaanta hai, bhooke ki roti unka naashta hai
aazmata phir bhi khud ko daud me wo haanfta
burai karta phir, mann me khudko daanta hai
sab pta hai phir bhi, anjaan kyu banega tu?
na de sake tu jaan phir, jaan kaise lega tu?
nadani hai ya bewakufi? mane batein dusro ki
meri baatein sab zaroori, chode de tu ji hazoori!
aur ek baat jo hai kehni, ankhein khol dekh
duniya tune kali patti pehni, usko phek de
nafrat-e-mahol me sare log na hain ek se
dehshat ki aag me jal rhe kaafi naek hain
rote teri aankhon me tujhko dekh ke
andekha na kar unko dekh k…

chorus -abxom

humko kya pta tha?
jab na baatein humne seekhi
humko kya pta tha?
kya sach? kya raajneeti?
humko kya pta tha?
jab thi baatein haseen!
humko kya pta tha?
kya ameer kya gareeb?

humko kya pta tha?
na bach sakta koibhi!
humko kya pta pta tha?
ki ye kaatein aur boye bhi
humko kya pta tha?
insaan ya shaitaan?
humko kya pta tha?
insaan hi maarta insaan

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...