kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

young galib - aatma كلمات الأغنية

Loading...

maa boli tu sota nahi raat mein kyun, main bola maa neend nahi aati
main bola ki duniya se lagta hai darr, ye khushiyaan chheen na chahti
main bola main gunhegaar, mere pe duniya ka karz hai kaafi
wo boli tu dua kar, duniya aur deen mein fark hai kaafi

tabhi main dua karu, subah mein jabhi main utha karu
mla hai jeene ko ek din aur, toh jeete jee kisi ka bhala karu
hain seekha jeena ka mera kuchh aisa tareeka, chheen toh sakhta mere ye haath se chheenega kaise koi mere naseeb ka

aaina
woh g_ya dikhaa ke, mujhe bata ke
ki hun main kaha, tuta ye ghamand mera

aaina
woh g_ya dikhaa ke, mujhe bata ke
ki hun main kaha, tuta ye ghamand mera

toda jab maa ka dil, toh saath mein tuta tha ghamand ye
wo ro ke bhi de rahi dua thi toh aankhein jhuki meri sharam se
dukhaya baap ka dil toh jaane se darta hu kabar mein, main maafi ke laayak nahi toh kehta khuda mujhe sabar de
naadaani mein kari hai galti, tha galat iraada nahi
jo kiya hai maine wo tumse bhi ho, aisa main chahta nahi
milega sab tujhe, tu khaali sabar rakh
milta nahi waqt se pehle aur milta aukaat se zyaada nahi

gusse mein sar pakadta, main khud hi se ladta rehta
kaise sambhalunga ghar akela main, kaise utaarunga maa ka karza
baatein ye ghumti mere zehen mein, saath diya do badi behen ne
zindagi le raha tha halke mein kaafi, zindagi jee raha tha bas wehem mein
mushkiein thi kaafi saari, chalte jaare silsile the
zeher jaisi zindagi thi par utar g_yi gale se
raaste badal rahe the, itne saal jee ke bhi lag raha tha ki jaise
iss safar mein hum naye the

aaina
woh g_ya dikhaa ke, mujhe bata ke
ki hun main kaha, tuta ye ghamand mera

aaina
woh g_ya dikhaa ke, mujhe bata ke
ki hun main kaha, tuta ye ghamand mera

aaina
toda ye ghamand mera

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...