kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

yeah sabi gill - hopeless dreams كلمات أغنية

Loading...

hopeless ki duniya main jee raha hoon main
kafan main hain chaid itne see raha hoon main

ankhain meri nam, aur saansein bhi hain kam
apni hi tanhaai ko, pee raha hoon main

dil mein hain sawal kitne
dhoondhoon main jawaab inke
apne aap mein marna aise
gotay khaoon, silaab jaise
lagta hai azaab jaise
panchi hai azaad jaise
mausam hai kharaab jaise

sun le tu zara, chun le raasta
mitti pe khada, choo le asmaan
deta jo sama, paani pe chala
dar pe hai khada, choo le asmaan

apne aap ko kosta rehta
saari raat ab sochta rehta, tokta rehta
roz main khud ko todta rehta
sapne mein sab jodta rehta
maut se khud ko rokta rehta
baalon ko main nochta rehta
apne aap mein bolta rehta
kaash yeh hota, woh bhi hota
apno ka kabhi saath na khota
dil mein woh khwaab na bota
jiska koi injaam na hota
aise main badnaam na hota
aise main kharaab na hota

sun le tu zara, chun lе raasta
mitti pe khada, choo le asmaan
deta jo sama, paani pе chala
dar pe hai khada, choo le asmaan

neendain chhoti, khwaab bhari
kaagaz kam, alfaaz bhari
udna chaahoon, baaz bhari
tanha hoon par yaar bhari
peeta nahin par jaam bhari
saansein kam aur saal bhari

jeene mein ab baat nahin
apne pe ab naaz nahin
marne ke halaat nahin
apne dete saath nahin
gairon pe hai aas nahin
rab pe hain umeedein meri
woh bhi karta baat nahin

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغنية الشائعة حالياً

Loading...