kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

xr (rapper) - naa kaamil كلمات الأغنية

Loading...

[intro]
sab paakar bhi haara
hua aur adhura sa lagta hai
itna aage badh to raha hu
par peeche jo chhod aaya hu
unke bina jee paunga? pta nahi..
ek jang si chalti rehti hai har din iss dimaag mein
khayalo mein bus ulajhta hi jaa raha hu
samaj nahi aa raha hai ki jin raasto pe badhta jaa raha hu
wo sahi hai bhi ya nahi hai
aisa lag raha hai ki kisi bhavar mein fass g_ya

[verse]
asamanjas kaafi ye zindagi rahi asaan na
abcd se kab ban gyi ye pahad huh?
chadke papa ke kandho pe dikhta jahan tha
wo nazar hi naa aata main chad aaya hu himalaya

pankha na chalta, maa ke aanchal mein sukoon tha
ab ac rehta chalta fir bhi khoon rehta khaulta
bp high, na sugar na in control
dawai khane ko doctor ne bola din mein do baar

kandhon pe bhoj tha kitabon ka ab bhoj na
ab bhi bhoj sa lagta jaise raha koi daboch haan
jawaab sawaalo ke mil jaate the kitaabon mein
ab sawaal paheliyan jawaab rehta khojta
thi dosti, dosti mein bhi wo yaari thi
fareb ka pata na, na iraadon mein makaari thi
par wo sach na, sapna tha shayad sabka
kyu aankh thi khuli jab asal mein hui gaddari thi

nazron ka dhoka ? kyu lagta har koi anokha tha?
wo daur hi koi aur ya masoomiyat ne roka tha?
badla kab kaise kyu? ho g_ya hai ab aise yun?
aakil ban baithe sab main mera, main mera tera tu

paiso ki keemat kya paisa ban gyi deemak haan
khaa gyi rishto ko khokla kar diya insaan
tole tarazu pe boli lagi hai aansun pe
khushiyon ka mol kya bikri hui hai lakhon mein

kar haasil ban kaabil lagta fir bhi kyu naa kaamil
aamil hone ko shamil ban vaasil naa ki faasil
azaadi se udne ka bhoj kaafi pankhon pe
samet lo fir karlo qaid main qaidi banke hu raazi

baatein hai sapno ki na baatein ho rhi apno ki
apno ko chhod ke kyu khaatir ho rahi gairo ki
fir khaatir gairo ke ro rahe ban gye ye rogi
maa bhi akele ab bhi bus usko chaiye to do pal hi

aam si zindagi rahi naa koi aam yahan
aam si zindagi jeena mushkil ab kaam yahan
do pal ka chain wo sukoon ki saans
main kam mein jeena to chahu par wo keh dete haraam yahan
ghar saulat, dhan daulat sab mil gyi tujhko shauhrat
khareed layega kya maa ke aankhon ki raunak
jo milti thi unhe dekh tujhe kareeb se
ab door sabse itna ki jalan tujhe gareeb se

ab aa baitha kaise main mukaam pe
hun phoolon mein par lagte kyun yeh kaatein
chahta tha paane saare sitare
ab lagta ye dharti hi sab jahaan hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...