kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

umer anjum, savage & superdupersultan - fly away lyrics

Loading...

[verse 1: umer anjum]
naa baaz aaun udne se
naa ro paun main unme se
kya kho jaun main khud mein hi
naa poochh bahut rokta hun khud ko main
tha paas tere us pahar
pi g_ye diye jo tune sab zehar
paas mere ab tu thahar
tujhe dekh lu main thoda teri le lu khair
ek waqt tha ki hum bhi thay
thode faasle pe gham bhi thay
thode haadse ka hum thay shikaar
thoda raaston se darte to hum bhi thay
bas saath hi to chalna tha
haath mein haath is raat ko bhi to dhalna tha
main jo aaj ismein haath mere kal ka tha
darwaaza band hai dil ka dard palta raha
keh do ab tum baat koi
badi naaraz si lagi jo aaj raat hui
kyun peene ki talab mujhe ye aaj hui
lagta hai baitha hai tumhare udhar paas koi
waqt beet raha yaadein mit rahi
kal theek tha main aaj mera din nahi
main samajh lu tujhe maut tujhse bhaagta rahun
main mar jaunga tujhe mila agar fir kabhi
dil mera bahta raha
mujhe chhod ke na ja ye main kehta raha
naa pehle main aisa tha
par ab yaad bhi nahi ki main kaisa tha
main dhoondta kyun tujhko sab mein
meri bas ho g_yi nahi mere bas mein
tu kahaan kho g_yi? kahaan hai wo raaste?
badi raat ho g_yi kahaan reh g_ye tab se?
[chorus: umer anjum]
jaan_e_jaan
teri yaad mein aaj yaad karun sab
sochu mujhe kya mila?
kyun maanta nahin dil kisi aur par
ye kahaan jaayega?
bada chahta hai tujhe kabhi gaur kar
na maanega
nahi sunta ye nahi mere zor par

[verse 2: savage]
tere saath to main kal tha par
teri yaadon se na waise mera bhar tha mann
haseen hai raasta ya safar tha bas
na ummeedi hi shayad mera hal tha bas
mila kyun nahi sabar ka fal
teri yaad mein akela aur wo toota ghar
jhoote munh hi sahi haal poocha kar
teri le lu main khair tujhe dun khabar
khud rooth kar tumhe hum mana lete
khud se door hue tere door jaane se
wapas aane ke 100 bahaane thay
likh raha hun gaane fir se main kinaare pe
kuchh pal hai haseen
jis pal mein ho tum (jis pal mein ho tum)
tum aaj mili nahi (aaj mili nahi)
shayad kal mein ho tum
aabaad wo ghar jis ghar mein ho tum
door hoke bhi nazar mein ho tum
safar mein ho tum safar mein hun main
badal g_yi ho tum badal g_ya main
kaafi raaton ko na ghar g_ya main
dil lagana tumse mujhe mehenga pad g_ya hai
main bas ghoomu shaam
tumse milne ke bahaane
main kitna jhootha kitna saccha khuda mera jaane
fir se duniya se kinaare hoke likh raha hun ye gaane
teri yaadon ke sahaare hum bas zindagi guzare
(teri yaadon ke sahaare hum bas zindagi guzare)
(kuchh pal hai haseen)
[chorus: umer anjum]
jaan_e_jaan
teri yaad mein aaj yaad karun sab
sochu mujhe kya mila?
kyun maanta nahin dil kisi aur par
ye kahaan jaayega?
bada chahta hai tujhe kabhi gaur kar
na maanega
nahi sunta ye nahi mere zor par

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...