kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

satvik sharma aka hyke - chaar log lyrics

Loading...

kuch bura hota hai to kehte hain
mera samay nahi chal raha
jiss dinn khush ho uss dinn
kehte hain ki samay nahi thama
matlab khush hai hum to hum sabhi ko
samay nahi pata
aur agar dukh hai ghar pe
fati hai to samay ki khata
samay nahi chal raha to
samay tera ayega bhi kaise
jo pooch humse pare hai
tu batayega bhi kaise
samay nahi chal raha to
bande bol kamayega bhi kaise
aur g_yega bhi kaise
aur ek do ko bajayega bhi kaise
ek do gaane likh ke
aise khudko shayra nahi kehte
jaipur me jaha hum na baithe
usse mushayra nahi kehte
fayde nahi dekhe
jab gaaye the gaane nayla me aise
aur aisa ek show nahi kiya aaj tak
j_sme mic hai nahi faike
nepotism nahi hai ghar pe mere
iifa nahi baithe
dad sick hai mere
zindagi ka zayka lu kaise
lado mat vo shabd batado
jo ki aainda nahi kehna
tu mujhe dekhe par dikhte hai tujhe
aaine me chehre
kitaabe khud hi likhu
pita ke aage hi jhuku
khitaabe khud hi ke chunu
sthir aakhein buddhi me suroor
sitaare bann ne ka junoon
milta nahi par uspe guroor
fida hoon ek hi pe shuru se
milta ussi se sukoon ha
ho buddhi kisi me to
choo loon main gairo ka joota
faltu ke rishtedaaro ka
kabhi pair to nahi choota
ghar pe aake batadu
pee hai maine
mai nahi jhootha
mujhe karke nashe fatt g_ye
lekin mai nahi foota
maa ne bola sitaaro pe chordo
khudpe chord diya
sitaara tum kya todoge
maine khud ko todd diya
girta dekh khudko maangi khwaahish
khudko mod diya
chord diya khudko naya banaya
khudko jod diya
jo ghataya vo galat tha
to jo aaya vo galat tha
sudhara usse maine
kyuki ghayal vo bhi shaqs tha
paya ye sabak tha
hoke kaayar maine tab tha
hoti kaayar me nahi kshamta
to mai shayar to nahi banta
chaar logo ki soch ke bas
zindagi guzaar do ya
chaaro ko bolo ki chaaro
khayenge ye maar
chaar log ye bekaar log
chaar chaar ye bekaar ke
ye chaar log

jo uthe hai usse neeche kare
ye jale hai jo tu jeene lage
inki sunke jeete jee na maro
vahi karo jo sahi hai lage

kaam aisa karo chaar log
baate b_n_le
kaam aisa karo chaar log
paani na maange
kaam aisa karo chaaro bole
nakamiyaab hai
ya kaam aisa karo ke ye
chaar log phaasi lagale
chaar log pakki baat hai
saale kaafi gawar hai
chaar cheeze nahi kari
inme vidhya ka abhaaw hai
chaar log hote kaun hai
mujhse laake milwale
aur jiss dinn mil g_ye
inke dinn g_ye ye phir
wapis nahi jaa rahe
chota rasta pakda tumne
maine koso ko chuna hai
hosho me hona
iss koshish me osho ko suna hai
kala ne chuna hai mujhe
tumne noto ko chuna
paisa bhi nahi hai to kuch hai
agar ho to kuch bhi na
bhookh pyaas bhoola baitha
maana vo to gunaah hai
par vo bhi bura hai jo khaate jaise
roshogulla hai
gussa aaye hoth kaate
mere hotho se khoon aaye
jisse pyaar hai
kitne saal se uske hoth ko nahi chooma
par pyaar na main utaaru
raanjhana ka mai dh_n_sh
kaanch na haath kaatu
hazaaro laakho udaadu
mai rajpal mai hi shahrukh
ye vaasna hai bazaaru
pyaas la mai bujhaadu
mai dhaarna inki faadu
na to yaari na koi pyaari
bas hai kaam se fark ab
ye zubaan meri hai aari
hai aawaz me karkash
raate kaati dinn me likha jo
kharaash me padhkar
baate bhaari sunadu to laade
laash me hulchul
raat pasand shaant mann
na ho saans me hulchul
raat aane me deri to lelu
shaam se takkar
aage kya hoga na jaanu
hai anjaan se safar
pichle maheene lagane pade
shamshaan ke chakkar
hai khushi mujhe iss dukh se
meri zindagi hili
zindagi hili tabhi puraani zindagi giri
zindagi giri aur tabhi to laga
ki nayi ye zindagi mili aur zindagi mili
to laga ki pehli koi zindagi nahi thi
faltu ke chaar log
chaar logo ki soch ke bas
zindagi guzaar do ya
chaaro ko bolo ki chaaro
khayenge ye maar
chaar log ye bekaar log
chaar chaar ye bekaar ke
ye chaar log
haw sh_t here we go again
jo uthe hai usse neeche kare
ye jale hai jo tu jeene lage
inki sunke jeete jee na maro
vahi karo jo sahi hai lage

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...