kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rahib khan - khatam jawani كلمات الأغنية

Loading...

mere marne ke baad meri kahani likhna
kaise hua barbad mai meri jawani likhna
likhna ke marte waqt bhi deta tha woh duayen tujhko
haath bahar the kafan se usske tum saare yeh nishaani likhna

dua ki hai maa ne ke yeh dil ab juda rahe
to phir iss dil ko koi aaam shakhs kaise tode ga
mai jab bhi ghar se baahir jata maa ki rehti dua
to koi kaise meri ummidein tode ga

mujhe jeena na sikhaya kisi ne
zakhmon ko seena na sikhaya kisi ne
mujhe sab hai sikhaya waqt ne
rab ke aag_y bhi hai jhukaya waqt ne

dekhun sheeshe main poochon khudse ek sawal
kya bana diya hai rahib tunay apna haal
phir poochun kyun maine banadiya khudko yun behaal
kyun bicha raha hu khudke khilaag yeh jaal

mai to tha khudka gharoor
chorg_ya mai khudko door
issme kisi ka na kusoor
toot g_ya mera suroor

mai to rehta hu madhosh
iss mai kisi ka bhi nahi dosh
kab se hu mai behosh
kab se hu mai
ab jo bhi pass hai usspe khuda ka shukar hai
na hi maazi ki na hi mustaqbil ki fiqar hai
khuda ki dain hai khuda ka karam hai
laaj rakhi hai khuda ne rakha yeh bharam hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...