kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

raghav - adhoora كلمات الأغنية

Loading...

[chorus: raghav]
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)

[verse 1: raghav]
kaise bolu tumse jo hai mann ki baatein
kabhi mei poochu khudse nek kya mere iraade_
karm bhoomi pe khada mei sahi galat hai na pata
voh dharm jo hai lapata
ibaadaton se jhankta
kuchh aisi hai ye dastaan
ki sabka sabse vasta
akela mera rasta
mei ganga jaise naachta
par jaake milte saagar mein anek bante ek hai
aur ek ka mahetv kintu utna hi vishesh hai
samay sarvshreshth hai
aur ghoome saara vishv merudand pe ye vriksh hai
jeeene ka astitv hai
ye baadal aate jaate mann mei
gher lete surya ko jab
pran mei jo shakti basti
usko bhi ye kheech lein sab
vyaktigat ye maaamle, kripya raasta apna naaplein
jo krne aaya krta voh mei ek baar thaan ke
mushkilein hai chaaron or, dekhu unke tadke
ye duniya hai kharab, ye sabhi hai jaante
aji chhodo ye jo busdili inn kanjaron ko saabit krke milta humko kuchh nahi
gum gum gum gum
jo krna hai voh khud ke liye, ladna hai toh khhud ke liye
jioge tum apne liye
kaisa gummmm
pancchhi dekhe bahar ki ye duniya apne pinjare se
sabkuchh usko milta fir bhi
khush nahi voh jeene se
aisi ye vidambana jab kuchh na hota maangte
azaadi toh hum jaante par chahiye jo hum maangte
uss pinjare mei hum koodke aisho_araam ab jaante
par voh kafi na hai
ab voh kaafi na hai
fir voh kaafi na hai
[chorus: raghav]
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)

[verse 2: raghav]
dimaag ka ye khel hai
khela mene baar baar
tadipaar hoshiyaar
ho gyi tayyariyan
jo bolna tha vho bol diya
dedi humne gaaliyan
thoda style vyle maar diya
gaadi mein hum tez firte
sheehshe saare band milte
photo abhi kheenchein iski
dekhein kitne like milte
hum toh abhi tight hai na?
oopar se khureda jisko
voh koi life hai kya
bakwas hain ye baatein saari
hum pe itna time hai kya
chhilkon ki tarah chheelu jeevan ko
hilne do
khudhi ko khudse ab bas milne do
hilne do
chhilkon ki tarah chheelu jeevan ko
hilne do
khudhi ko khudse ab bas milne do
hilne do
indradh_n_sh ke kinare baitha lekh likh rha
aasman mein soch udti
rangon ka ye mel ho rha
prem rog bandishon ko lapton mein pighal rha
ehsaas hota mujhko mujhse oopar hai kuchh ho rha
vishwas hai abaad hum
ye chainein aur diwaarein haijo
rachna krke todte hum
jeene ka se saar hai
lehere uthti paani jo faika patthar kund mein
lehere uthti mere andar sochu jo bhi mann ke andar
harr harr mahadev
lagalo dubki ganga mein
abey mei hi hoon bhagwan
ab toh sab changa hai
nanga hai
nanga hai
zindagi ka fanda hai
oopar se jo garam dikhta asal mei voh thanda hai
paida hua jo bhi sabke gale mein ek fanda hai
ulti ginti ginn rhe sab lekin shayad na pata hai
jo bhi mujhko lagta hai voh lagta keval mujhko hi kya
khair chhodo
farak kya hi padta hai
[chorus: raghav]
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei (ah)
bolu toh bolu kya
lage soona soona
adhoora hoon mei

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...