kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

naam sujal - pyaar? كلمات الأغنية

Loading...

[verse 1]
kaale sehron ke panne khatam
meri aksar aks yeh poochhe kahan pe likhun
jab bhatke teri aankhon ka noor
tab hi sehma bikhre mera kaafila kyun
khuda tera kaafir hai khud
meri jaan tere aage wala aadmi hai tuchh
bharne de ghaav pehle baad mein le chhu
dukh hai aaj bhi sunu main tujhe surkhiyon mein
roti aaj bhi chhat pe jo tu gumm si hoke
chaand bhi le aata hoga dhun piro ke
jawaab hai main rahunga wahan narak mein tapte
sawaal hai ki jaan kya wahan tum bhi hoge
sawaal hai ki kya meri ummeedon pe
chalna hoga tere munsifon se
kal na hoga tere haath mein jo kuch
toh phir palna hoga meri unn cheezon pе
jo chubhti hai tujh ko
haan jaise mera kaam aur yeh moochh
tеre gusse ke daam ho rahe kroor
hum hote uthte se hi shaamon mein choor
iss paraye ko le din bitaa rahi ab
apno ko tak ginti jo nahi thi
tujhe khaati teri zimmedariyan
mujhe khaati meri insecurities ab
[chorus]
aa saath tere banta deewana
baad tere main na
jo baat kare tera deedar
woh baat mere mein kahan nahi
jaanchte reh bas rakh ja sar pe haath meri jaana
hota kaash mujhe asaan samajhna kaash tujhe na

[verse 2]
tera mann mere paas ruke na
tu nawab aur yahan paanch rupay na
at__ton ka dil mera sheesha hai
aur tu soche bas kaanch chubhe na
ata gela tujha naad kuthe
teko dene ko nahi mere paas khaas kuch hai
bas khwaab hai bhare pade khaali passbook hai
tabhi ghabrati dhoondhe meri laash tujhe
degi tu maafi nahi
par inn chaadaron ko rakha jo chehre pe tu ne mere
raatein behtar aur savere bhi sanwaare
toh tere pe maine
aake bas ab aankhein tu haathon se kar de bandh
taaki neendein bhi khwaabon se bole
kehna jo keh rahe thae
jagah pe na rahun main toh kaaga tha gully ka
teri adaa pe jo mara bhoola jeene ka saleeqa
laga ki tu rok hi degi kaanta wahan ghadi ka
inhi baaton mein toh gumm ho jaake bhoolun tera mol
ab aage hone wala kya tu meri aankhon mein le khoj
aur wahan ki chamak bekaar hai seh lena
mere khwaabon ko jaan ke
jo tu samay ki maang kare
woh samajh se paar hai meri jaan
madad hi maange badhe faasle zara
toh bana leta dil mera khud se khabrein
iss zamaane mein jeene se behtar hai
ki yahan baithe marr hi jaun
teri chhoti ungli pakde
aur shayad tera saath nibhaalu main
ya shayad mujhe kuch na maloom hai
par zimmedaar bana 2 cheezon se
mere baap ke taano aur tere baap ki daaru ne
sikhaaya mujhe bann_na sateek
aur tabhi leta hoon main saare pahiye sambhaal
sab chhod mujhe bolna yeh tha ki mujh se
kya karti hai sahi mein tu pyaar
aur yahi hai sawaal
ke kya tu nahi hai jawaab
kya tu nahi hai jawaab
[chorus]
saath tere banta deewana baad tere main na
jo baat kare tera deedar
woh baat mere mein kahan nahi
jaanchte reh bas rakh ja sir pe haath meri jaana
hota kaash mujhe asaan samajhna kaash tujhe na

[outro]
pyaar
talab
pyaar j_sm talab
pyaar nahi talab
iss talab_e_j_sm mein marham har kism
tu ek baari ghaav toh de
inhi adaaon ki latton ka zikar
adalaton mein jaake karoon
tu ek raati pyaar toh kar

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...