
muhammad samie - abu turab ali كلمات أغنية
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
kahan insan ko samajh tera maqaam aata hai
tujh peh haider meray khaliq ka salam aata hai
pehli saf mein na sahi, aakhri saf mein hi sahi
tere rindo’n mein kahi’n mera bhi naam aata hai
daftar e haq jo khangaale tou yeh maalum hua
baad e ahmad (saw) meray haider ka hi naam aata hai
bistar e khatm e risalat (saw) nahi rehta khaali
jab nabuwat kahin jaati hai imam aata hai
kaun laaye, kaun laaye
kaun laaye tera jawab ali
kaun laaye tera jawab ali
saaqi e man abu turab ali
kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
rind tera tеri rindi peh kyun na naaz karay
jaam tera tou zamanay se bе_niaz karay
teri hi zaat e mubeen hai keh jiska naam faqat
kharay mein aur munafiq mein imtiaz karay
yeh unkay khoon ka masla hai warna kyun koi
meray ali ke wilayat peh aiteraz karay
rukuh mein aaye sawali tou sunn adaa e ali
keh woh zakat adaa bar sar e namaz karay
hai misaali, hai misaali
hai misaali tera shabaab ali
hai misaali tera shabaab ali
saaqi e man abu turab ali
kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
teri dargah ki aseeri se sukhan_war bhi huay
meesam o qanbar o salman o abuzar bhi huay
ghous o abdaal o qutub, khwaja, qalandar bhi huay
hadd tou yeh hai keh tumhi se woh 72 bhi huay
jaam e jam laakh fanaa haideri paimanay peh
aatish e haq hai ayaan safdari parwanay mein
teray masto’n ko ali kab hai gharaz dunya se
ek alag dunya hai basti teray mastanay mein
hai wilayat, hai wilayat
hai wilayat ka aftab ali
hai wilayat ka aftab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
{second section}
ali ali! maula ali ali!
ali ali! maula ali ali!
ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)
dildar e kibriya o muhammad (saw) ho tum ali
ashaab e mustafa ke bhi maula ho tum ali
mushkil mein kyun ali ko pukaaray na zamana
khaybar mein mustafa ne pukara hai ya ali
hijrat ki shab ali ne guzaari hai iss tarah
dunya samajh na paayi muhammad (saw) hain ya ali maula
ali ali! maula ali ali!
ali ali! maula ali ali!
ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)
aijaz e mustafa mein shariat kharri rahi
darwaza e zahra peh risalat kharri rahi
dosh e nabi peh sajday mein aa kar charhay hussain
baithay rahay hussain, ibadat kharri rahi
maula e dou jahaan ko hakumat se kya gharaz
thokar mein jis ke hashmat o sarwat parri rahi, maula
ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)
taa surat o paiwand e jahaan bood ali bood
taa naqsh e zameen bood o zaman bood ali bood
shahi keh wali bood o wasi bood ali bood
sultan e sakhaa o karam o jood ali bood
aan shah e sarfaraz keh andar shab e mairaj
ba ahmad e mukhtar (saw) yak e bood ali bood
aan “lahmuka lahmi” bishnau taa keh bidaani
aan yaar keh oo nafs e nabi (saw) bood ali bood
ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)
ali shah e haider imaman kabira
keh baad az nabi (saw) shud basheeran nazira
ali ibn e amm e muhammad (saw) rasool ast
choon moosa akhi, guft haroon wazira
ali auliya ra daleel ast bar haq
ali anbiya ra waliyan naseera
muhib e ali jannati baad e murdan
buwad aiman az khauf e munkir nakeera
ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)
zahe izzo jalale bu_turab_e_fakhr_e_insane
ali_e_murtaza mushkil kusha_e_sher_e_yazdane
wali_e_haq wasi_e_mustafa darya_e_faizane
imam_e_do_jahan_e_qibla_e_deene wa imaane
ameer_e_kishwar_e_faqr_e_shah_e_iqleem_e_irfane
khuda goye khuda beene khuda daane khuda shane
payambar bar sar_e_mimbar nashist_o_khvaand maulayash
ke ta maulayash ra bashad andar khalq burahane
han qismat mein likhi hai us ki zalalat
jo rakta hai dil mein ali se adawat
ali se adawat khuda se baghawat
kase ra mayassar na shud een sa’adat
ba ka’ba wiladat ba masjid shahdat
atta hai lab se nikalna ke haideri hun mein
tere amal se na jhalke ali to kya hasil
milen ge naa’ra_figan bahut, “hum hussaini hain”
yazid_e_waqt pachhaada nahin to kya hasil
ghurur_e_ilm se labraiz mufti_o_mulla
teri nigah mein panjtan nahin to kya hasil
kahan ki teri ibadat kahan ke sajday hain
basi na dil mein ali ki vila to kya hasil
kya ho gaya hai haal_e_musalman kya kahoon
hain pur_malal ya ali ahwal kya kahoon
zahir hai paraganda to batin bhi siyah hai
kehne ko magar ummat_e_mehboob_e_khuda hai
ehsas ki dawlat hai na kuch ghairat_e_eeman
na barq hai seenon mein na himmat na vaza hai
taajir hain zameeron ke sar_e_aam musalmaan
haq baat kahoon in se to murda bhi bhala hai
na sift_e_khafi in mein na ausaf_e_jali hain
bolen ge to aise ke zamane ke wali hain
be_khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar hai
khali hain amal se magar auron ki fikr hai
afkaar jawanon ke zaboon_haal hain maula
shaheen ki dosheeza_e_maghrib pe nazar hai
hai dukhtar_e_islam_e_mubeen nafs ki laundi
afsos ke wo zeenat_e_har raah_guzar hai
zahid ka zohd hai to dikhane ke liye hai
mufti ka hai fatwa to kamane ke liye hai
lagu hain kahan us pe ye ahkam_e_shariyat
naseh ki nasihat to zamane ke liye hai
haider si sakhawat na alamdar si jurrat
hasnain si shaukat hai, na akbar si basarat
abid si ibadat hai, na jafar si sadaqat
zahra si taharat hai na zainab si balaghat
thukra ke hum ne qaul_e_nabi zee_maqam ko
thama hai hum ne ya ali har khas_o_aam ko
chorha ali tujhe teri itrat se katt gaye
phir yun hua ke hum to tehattar mein batt gaye
dushwaar hai is halat_e_bad_haal mein rehna
ya haider_o_safdar ye khuda pak se kehna
parwardgar waqt_e_zahoor_e_imam a.s. hai
pasti mein deen_e_ahmad_e_khair_ul_inam hai
كلمات أغنية عشوائية
- iilliaa - life gets hard - sped up كلمات أغنية
- 0thеr - cr0wds كلمات أغنية
- psixblade - последний сон (last dream) كلمات أغنية
- b00gie.g - threesome كلمات أغنية
- hayley westenra - per natale (l'esprit de noël) كلمات أغنية
- marília mendonça - com qual carícia كلمات أغنية
- yba.xoxo - ik my parents would like you كلمات أغنية
- pariisin kevät - aavikkoo كلمات أغنية
- die toten hosen - the return of alex (live at cbgb's, new york, 1992) كلمات أغنية
- balaclavx - intelectual كلمات أغنية