kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

mehdi maloof - mera dost pareshan hai كلمات الأغنية

Loading...

[verse 1]

mera dost pareshan hai
keh kiya ajeeb si ye shaam hai
parinday bhi hairaan hain
bhainsain bhi pareshan hain
shehar bazaahir tou abaad hai
par uska dil aik bayabaan hai
usmain roadain bhi veeran hain
aur sarkain bhi sunsaan hain
aur tanha mera yaar hai
akaila pareshan hai
uska na koi samaan hai
bas uske haath main guitar hai

[chorus]

mera dost pareshan hai
keh kiya ajeeb si ye shaam hai
parinday bhi hairaan hain
bhainsain bhi pareshan hain
keh kiya ajeeb si, ajeeb si, ajeeb si ye shaam hai

[verse 2]

mera dost pareshan hai
keh kiya ajeeb si ye baat hai
keh lab pe sab ke mera naam hai
par apne aap se sab anjaan hain
aur ashrafal jo makhlooqat hain
wo tou ban chukay haiwaan hain
bas hawas ka aik toofan hai
wo keh raha hai keh insaan hai
toofan main aik aankh hai
usme tanha mera yaar hai
parinday bhi hairaan hain
keh kiya ajeeb sa jahaan hai
[chorus]

mera dost pareshan hai
keh kiya ajeeb si ye shaam hai
parinday bhi hairaan hain
bhainsain bhi pareshan hain
keh kiya ajeeb si, ajeeb si, ajeeb si ye shaam hai

[bridge]

mere dost tu bewaqoof hai
kiyunke jo tujh ko matloob hai
wo na jawaab hai na suroor hai
balkе wo tujh main pehlay se mojood hai
aur kitna tu nadaan hai
tu tou awain pareshan hai
aur tu tou mеra yaar hai
aur baaqi duniya sab bekaar hai

[chorus]
mera dost pareshan hai
keh kiya ajeeb si ye shaam hai
parinday bhi hairaan hain
bhainsain bhi pareshan hain
keh kiya ajeeb si, ajeeb si, ajeeb si ye shaam hai
keh kiya ajeeb si, ajeeb si, ajeeb si ye shaam hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...