kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

mc snub - zillattein كلمات الأغنية

Loading...

chorus
zillatein chhode nishaan
par himmatein mitaati woh ghaaw
zillaton se hi baney insaan
sab se gehre scars, sab se dilkash libaaz

x2

verse 1:
duji kaksha
6 yaa 7 saal ka bacha
teacher ko jo deta thaa
bhagwaan ka darja
wohi sikhaaya thaa
maa baap ne karna
karte the bharosa woh
paathshaala mein andha

duji kaksha
6 yaa 7 saal ka bacha
dictation ki pariksha
mita raha koi lawz thaa
teacher ne dekha
“ugha eraser itnaa ganda?”
chhii, banaaya muh aur
daaye haath ko pakda
le g_yi woh class ke aage
puchhi class se_
eraser agar
kisi ke paas hai extra?
aaye saamne woh
uthaaye haath woh apna

ayaan class monitor
ne apna haath uthaaya
teacher ne ussey bhi
class ke aage bulaaya
boli mujhе, “shaurya
apna haath aage rakho”
ayaan ne us haath mein mujhе
eraser thamaaya

phir usne kahaa “ruko ayan,”
tumne eraser toh de diya
par karo aur ek kaam
shaurya ko is bhool ke liye
ek thappad do maar
while dekkh rahi
tum dono ko poori yeh class

“that’s sick snub…
matlab tumhaari teacher ne…
poori class ke aage class monitor ko tumhe thappad maarne ko kahaa?
aur usne kya kiyaa?”
(sound effect)
chorus

yeh zillatein chhode nishaan
par himmatein mitaati woh ghaaw
zillaton se hi baney insaan
sab se gehre scars, sab se dilkash libaaz

x2

verse 2:

tha baadalon mein sar
kaagazon mein lawz
maasoomiyat mizaaj
nauvi kaksha, red report card

maa pohochi tuition waale sir ke paas
kahin bheja aap ke yahaan
kharch kiya haisiyat ke paar
phir itne kam kyun marks?
rehta ghar se baahar
shaayad galat sangat mein naa pad g_ya ho
hum rehte pareshaan
(aur ho asar naa koi daant _kaa,)

sir ne bola, “tanya ma’am?”
“shaurya ko bulaao”
ruk g_yi jo aaya tha leke main
masti ki ek chaal
par gir g_yi muskaan
dekh ke wahaan apni maa ko
meri ud g_yi hawaaiyaan_
“darwaaza karo bandh
tum se karni baat”
“tum ne nahi bataaya?
first term mein kitne number?
tum toh samajhdaar, kahaan rehta dhyaan?
i think you can do better
ab suno meri baat…rakho khuley kaan”
aur phir bass unhone kahaa
aur maine suna
bandh zabaan
jhukey kandhey
aur aansunon ki nadi bani thi jawaab

(“i respect what your father is doing for your family, he’s brought up good kids like you and your sister, but shaurya, do you want to end up like him, tumhe bhi puri zindagi dukaanaan chalaani hai kya yaa khud ko kuchh banaana hai?
these marks will not land you a promising future”)

bridge:
daala woh darr thaa daala woh darr daala woh darr tha mujh me
woh sharam ke beej, hai kya haisiyat?!
huk_mat ke khauf ke parde, x2

chorus

yeh zillatein chhode nishaan
par himmatein mitaati woh ghaaw
zillaton se hi baney insaan
sab se gehre scars, sab se dilkash libaaz

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...