kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

mc altaf & sammohit - koi nahi puchta lyrics

Loading...

[chorus: mc altaf]
koi nahi puchta, bura thha waqt aur halak thha sookh raha
mai gully mein sunn thha, sadak pe karele business khud ka
nahi madad koi puchta, katte ye sarr par kabhi naa jhukta
mai gully mein sunn thha aur sau khayaalon mein gum thha

[verse 1: mc altaf]
main baatein nahi karta kitaab se, maaf karna baitha quran pe
khayaal jab aate dimaag mein, madad main maang raha khuda se
mere jaise yahaan kitne udaas hain, mere jaise yahaan kitno ki pyaas hai

ek ghante mein sau se khayaal hain, usme se 70 sawaal hain
main rehta nahi kabhi akela, saath apne parwardigaar hai
aaj kal ke bacche bhi sahi hain, maa baap ko ghar se nikaalte

koi jeerela future mein abhi se, koi jeerеla abhi bhi past mein
chinta ye kaisi insaan ki, jo nikalti aaj ko bigaad ke
mеra dukh g_ya shaayari sikha ke, mujhe dukh mile sukh ko paa ke
insaan insaan ko kaat te, shaitaan ye dekh ke muskurate
koi nahi puchta
sunta hip_hop to accha insaan ban, dukhte musafir ke madad ka haath bann
marne se pehle kuch aisa wo kaam kar

[verse 2: sammohit & mc altaf]
jeerela aas par, fikar satati hai raat bhar, galti ka kuch to hisaab kar
bando ko maaf kar, khud ki talaash kar
dil mein jo vish hai tu uska vinaash kar
ham ghol ke majboori glass mein, le rahe thhe ghunt mein
bhula nahi route aur gala thha sookh raha
tu aata hai pehla ya doosra?
ab sheher ye khoon hai chus raha
koi nahi puchta
jab hote darwaaze band, main likhta thha kamre mein, pannon pe kam
jitna bhi kiya sab lagta thha kam, bharta nahi mann
[chorus: sammohit]
koi nahi puchta, bura thha waqt aur halak thha sookh raha
mai gully mein sunn thha, sadak pe karele business khud ka
nahi madad koi puchta, katte ye sarr par kabhi naa jhukta
mai gully mein sunn thha aur sau khayaalon mein gum thha

[verse 3: mc altaf & sammohit]
sar rakhta ooncha, chunauti ko chunta, main kamre mein sunnn tha
gaano ko sunta aur khudko dhundhta
bhatke thhe raaste hamare, wo samjhein paagal bichaare
sharaafat ka shakal se mel nahi
ye humko paagal bana rahe aur ye humko hustle sikha rahe (yeah)
dikhti thi takleefein tab mere face pe
karte ye race, to hum bhi yahaan tez thhe
dil rakha saaf, aur gande bas grades thhe
qisse mein patte, aur pocket mein blade thhe
kar rahe thhe chase ye, hume bharne thhe page ye
rakha bando ne gher ke, lekin khade hum sher thhe
aur kitne g_ye bhaag ke beech mein, show karna mujhko ab lakh ke beech mein
hum bando ko maarte streets mein
samajh nahi thhi, abhi kaan ko kheenchte
robinhood ban g_yele aaj hum scene ke
ab ban g_yele baaz hum scene ke
jaldi karenge raaj hum scene pe
rishta purana zameen se, yaha tak aaye bas reh ke zameen pe
mere dost log masalte jaa rahe, ladke sab safar pe jaa rahe
girte jo sambhalte jaa rahe, par ye humko samajh nahi paa rahe
jab bharosa nahi rakhta koi bhi, bharosa rakh apne aap pe
fir pair apna rakh hisaab se, aur sambhalna inke shraap se (yeah)
[chorus: mc altaf]
koi nahi puchta, bura thha waqt aur halak thha sookh raha
mai gully mein sunn thha, sadak pe karele business khud ka
nahi madad koi puchta, katte ye sarr par kabhi naa jhukta
mai gully mein sunn thha aur sau khayaalon mein gum thha

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...