kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

maddoxhiphop - khwabeeda كلمات الأغنية

Loading...

(hook)

khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jee rha ye bhi kabhi khwaab hi tha
khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jeeyunga lage wo khwaab hi saa
(2x)

(verse 1)

jo dekha ab tak wahi utara panno pe
deta shabashi khudko bojh jo in kandho pe
han ristedaar bole dikha ni mai barso se
dikhu bhi kaise roz khwaab bunta sapno ke

zindagi lambi na mai badi ki talaash me
zaalim zamana issi baat se naraaz mai
mai likhta wo jo mere mann ki awaaz hai
mai likhta wo jo aane wala kal agaaz hai

jaane kyu lage mujhe sabhi kuch deja vu
jee chuka pehle bhi aur firse sab mai jee rha hu
zindagi kaafi behtar aur na koi shikayat rab se
ye jayaz baatein saari kyu ki mai jeeta hu

aur kitna kuch bolu ab mai samajh me ni aara
mai haar ke mahaul me khud ki jeet hu manara
mai haara tab bhi jeeta kabhi darr ke ni jeeta
kyu ki haar se ye bhai tera seekh ke hi jaara
jo baat aaye apno pe to cheer deta sala
han kaam se pehchaan mai na dheel dеta zyada
ye soch hai azaad bhagat singh wala nara
inqalab zindabad saalo saal likhte jaata

tabhi aaj dekhu kal apna khuli aankhon sе jo sapna
hausla bana ke rakhta jaisa aaj mai waisa kal tha
soch kar vichar karna loabh hi vinaash karta
khauf bin swabhav apna raub iss kala ka kab tha

(hook)

khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jee rha ye bhi kabhi khwaab hi tha
khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jeeyunga lage wo khwaab hi saa
(2x)

(verse 2)

sarvochh mera padd ye kala kare zahir saaf
ye gaane mere granth likhayi meri behisab
dikhane ke na bas hu dil se karta naiki saath
wo jaane mera sab mai kitne karta punya paap

na dikhe mera maksad ye soch bhi na paye jo
bas yahi meri hasrat mai likhu jo sachhai ho
han aaye tabhi barkat jab baatu apni kamayi ko
baat baatein durr samajh se inki mann me hai samayi jo
insaan aur kalakaar mai behtar inse dono me
gumaan na kala ka khudko jaana har ek kono se
han dil ki baat panno pe aur kehta bas apno se
yaha saare bade mujhse par na bade mere sapno se

jo mere jaise nahi wo mukhalif meri kala ke
aur mere jaise jo wo munasib meri jagah ke
haan jinko deta dil wo dagah yu deke panah de
par auda mera bada ye muntassir meri wajah se

mai kaafi akela ni, kaafi akela hi
kaatil hamesha hi, sajish me rehta ni
baazi har jeeta hi, lazim vijeeta hi
jaani mai aisa hi, n_z_r ban baitha hi

ghalib jo kehta ni, n_z_l me pehla hi
paani to behta hi, jaali log jaisa ni
gaafil kyu hai shaamil, sathi sab sehpathi
aani jo hai baari aankhe na soo paati

(hook)

khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jee rha ye bhi kabhi khwaab hi tha
khwabeeda, khwabeeda, khwabeeda
jo jeeyunga lage wo khwaab hi saa
(2x)

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...