kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

kshitij nayal - naseeb كلمات أغنية

Loading...

(intro)
woh gham hi kya jise bhulana aasan ho
woh mohabbat hi kya jis pe tumhari kamaan ho
yun toh sochu na mein tumhare baare me har pal
per sochun jab toh dhale na suraj uss shaam ko

(chorus)
bethe kyun dekhen teri raha yun
teri majburiyon se haara hun
pukaro na ab jaa chuka hai woh
jo lauta toh fhir na raha hai woh
jab jeena yaha khul ke bhi nhi
toh rona na azadi ka karo

(verse 1: tij)
kyu lage hun kho chuka woh sab jo paa kar bhi maine kamaya nhi
bhula nahi yaad hai mujhe uss chehre pe teri wo khilti hasi
safar tha chota par chote us safar se dil tha lagaya kabhi
ek lauti woh tasveer bhi sath jo tere hai dil ke kisi koune me hai basi

gire the mere bhi ansu, kya waqif kabhi huye un ashko se tum?
kya dikhe na girte jo ansu, unn ashko ki keemat ho jati gum?
kar aaya mein wada waha, jin waado pe peeche se haste the tum
jab lada akela mai nafrat se, jaani kya hoti fhir maine khamoshi ki dhun

kuch cheeze naseeb me thi, jab maangi thi khushiyan kyu mili nhi
kuch cheeze naseeb ne di, jab manga tha saath toh kyu mila nhi
ab galti naseeb ki nai, jo mene fitrat bhi
padhna na seekha kabhi
per bheege yeh aankhe har zikar pe tere ho tajuk ki ab toh kareeb bhi nahi
hn thoda naraaz hun, sun toote ve dil ki saaz tu
na badal andaaz yun, ab sochu mai tere khilaaf kyu?
bas chale toh baant du, dard kishto me fhir gehri saans lu
aur kaise pehchan lu, teri hasi me chuppe insaan ko

(chorus)
bethe kyun dekhen teri raha yun
teri majburiyon se haara hun
pukaro na ab jaa chuka hai woh
jo lauta toh fhir na raha hai woh
jab jeena yaha khul ke bhi nhi
toh rona na azadi ka karo

(verse 2: abhinav)
jab itni hi dikkatein thi mujh mein
jaana kyun tumne bataya nahi
kehne ko tha tumhe pyaar par
dil se to tumne jataya nahi
pasand thi tujhe tasveerein
tu kehti banado, par aata nahi
ab jo na tu meri iss zindagi mein
likhu tere hi chitr, siyahi se hi

logon se darti thi bahar
saath mein tha pakda tha haath
kyu saali kismat gawaar
ye chakravyuh kyu samay deta na saath

kal jab main baj lunga scene mein
hogi tu saath tha main ishi yakeen mein
nakaam koshishein, meri baahon mein udasi
tune chhoda mujhe ansune kashton ke
beech mein

ansune kashton ke beech mein
ansune lafz mere, likhra hu geet mein
kon sune londo ki beetay (bt)
kon sune, consoling counselling cliché

karlia kamre mein band maine
chalri hai daaru aur jalre hain sutte
bann gaya janwar, jungly kutte
tujhko bhula dun, khudpe rehem hai

tujhse hu jitna main dur
main utna naraaz hu
par tujhse hu jitna main dur
main khudke hi paas hu
tere bin rehta ni hosh
main hua bekaboo
par sachchi batau to jaana tu jaan
jab rishton mein khot to bahenge aasu
(chorus)
bethe kyun dekhen teri raha yun
teri majburiyon se haara hun
pukaro na ab jaa chuka hai woh
jo lauta toh fhir na raha hai woh
jab jeena yaha khul ke bhi nhi
toh rona na azadi ka karo

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغنية الشائعة حالياً

Loading...