kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

knight mayor - ek din كلمات الأغنية

Loading...

chaahta mai banna ek behti si dariya
halaatein ho kuch bhi, bass behta mai jaaun
din roz naya par aam ek darr
kahin naa galat behkaawe mein aaun
raaste hain badle pr chalna naa bhoola
aakhri wo din ho jab ye sadkein khatam
udti hui dhool se chidhta naa mai
chidh ho fir bhi naa mudne kadam
mitna jab naam ko, kya rekha ka faayeda?
akele sab jaayenge, tu kya_kya bachaayega?
jo mitti se jude wo waapas milenge
khoye jisne jad, unke phool kya khilenge?
ab iss kalam ko na rukna, jab tak ruke naa samay
kal ko kaise bhulun jab fisla thaa mai?
karz mujhpe unka jisne kandhe milaaye
toot ti aatma jo sambhale naa paer
iss duniya mein 2 cheez ki izzat mai karta
cheenti ki mehnat ya maa_baap ki
jaane kyu hai iss daur mein, sab kuch hi paisa
jisnе chheeni hai chaen tann aur aatma ki
hona kya praapt rakh ke duniya k aage
apnе maa baap ke paise, khud ki jhooti tasveer?
ek_na_ek din, khulna hai parda
fir baanki bache din, kosun khud ki taqdeer

mai udna chaahta ek din
girta mai boht fir uth_ta waapis
jag se judna chaahta ek din
aage chalta mai apni khaatir

mai udna chaahta ek din
girta mai boht fir uth_ta waapis
jag se judna chaahta ek din
aage chalta mai apni khaatir

chaahat ko pura mai karunga
naa unnke wo paise, ho kar apne inn paeron pe
aakhri lafz mere, shukriya!
aapki badaulat chheeni duniya ye gairon se
kaagazi ye paise aur har ek naa sach
ho sakta hai likhu mai bhi kaagaz par jhooth
insaan kare woh jo usko pasand
kuch ka jeena haraam, mile maut se sukoon
jab dikhta ye sach, mile logon ko haar
turant uss hi pal, dena eeshwar ko dosh
par jab aankhon ke dhoke se dikhti hai jeet
tab khuda ek bhram, khud tha liya maine bojh
insaan bhi kya cheez
chahta bharosa jab khud diye peeth cheer
insaan hai kya cheez?
dhaal naa uthaaye, kare maut ki ummeed
insaan hai ajeeb
sach ka hai koi boond naa par jhooth ki nadi
insaan kaise veer
naa jaan ke liye lade, use bhook khoon ki
khud ke samaan kabhi dikhega naa koi
chaahe har ek vyakti ke aankhon par aenak
nafrat aur dushmani, dono amar
aisi lagi rahegi duniya mein roz hi _n_l
mai udna chaahta ek din
girta mai boht fir uth_ta waapis
jag se judna chaahta ek din
aage chalta mai apni khaatir

mai udna chaahta ek din
girta mai boht fir uth_ta waapis
jag se judna chaahta ek din
aage chalta mai apni khaatir

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...