kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jokhay, jj47 & shareh - scrambler كلمات الأغنية

Loading...

[verse 1: jj47]
mein pehle bhi hoon, tabhi tere baad bhi hoon
mein teri soch may rehta, tere khayalat bhi hoon
kabhi teri pakad bhi hoon, qaid bhi, nijaat bhi hoon
mein tera zikar karta phirta, kya tujhe yaad bhi hoon?
abhi abaad bhi hoon, mein barbad bhi hoon
suraj ki tapish hoon, mein barsaat bhi hoon
mein tere haal may hoon, tere halaat bhi hoon
khud may ik jahaan hoon, mein kainaat bhi hoon
mein tera j_sm hoon, dil bhi aur tere haath bhi hoon
tujh se hum_kalam hoon, teri har baat bhi hoon
mein teri jeet bhi hoon, daad bhi hoon, maat bhi hoon
mein pehchan hoon teri, mein teri zaat bhi hoon
mein be_mausami hoon, mein saughat bhi hoon
mujh se seekhte hain loug, mein ustaad bhi hoon
mein teri izzat, shohrat, aur teri auqaat bhi hoon
aakhir kon hoon mein? mein sawalat bhi hoon
ab tere sheher may hoon, ab yahan tikk chuka hoon
kya tu samajh paaye gi jo mein likh chuka hoon?
mein tou saudagar tha, ab mein bik chuka hoon
ab tou jalwagar hoon, sub ko dikh chuka hoon
mein tou zaar_zaar tha par ab sil chuka hoon
mein ab woh nahi raha, thoda hil chuka hoon
mein maqrooz hoon tera, kaise bill chukaun?
mein tou seedha aadmi, kabhi naa dil dukhaun
[chorus: shareh]
chup se sehte rehte bojh, nahi milte hain yahan kandhe
chalte muu utha ke roz, ab bus khud ke he dum pe
aksar gala deti ghont yeh ruswayi ke phanday
bus ab karay yehi khoj aakhir kab tak yeh sahay (sahay, sahay)
hum bus kehte reh g_ye (g_ye, g_ye)
baaqi kuch bhi naa rahe (rahe, rahe)
aakhir kab tak yeh sahay? (sahay, sahay)

[verse 2: shareh]
mein teri chahat hoon, mein teri bhool bhi hoon
mein ek mujrim hoon aur mein kuch usool bhi hoon
mein tere aaine pe lagi, jo mitt’ti he nahi, woh dhool bhi hoon
nikhaare jo husn ko tere, sawaray jo tujhe, woh noor bhi hoon
mein nahi khamkha hoon, mein bhi fuzool nahi hoon
mein tere paas hoon itna ke kabhi mein door nahi hoon
mein teri jaag bhi hoon, neend bhi, ghunudgi hoon
mein tere badalte hue woh rang, tere woh roop bhi hoon
mein tera gawah bhi banu ab kaise? mein woh qusoor he hoon
mein teri dawa bhi banu ab kaise? tujhe qubool nahi hoon
mein ek kahawat may likhi hui rahat, mein woh sukoon bhi hoon
maikhano may peeke bhi nahi jo milay, mein woh suroor bhi hoon
mein waise dikhne may tou kaafi aam hoon par khasoos bhi hoon
mein teri bigadti hui woh aadatein, tera khuloos bhi hoon
mein sunsaan bhi hoon, bheed bhi, juloos bhi hoon
mein har saans may hoon, tujhe zaroor bhi hoon
mein teri maat bhi hoon, mein teri daad bhi hoon
mein tera pyaar bhi hoon, mein teri daant bhi hoon
tareeki may apni mein bhalay par tera mein banta chiraag bhi hoon
bhool naa paye jo tujhe kabhi, kya tum lazmi ho?
kya tum aakhri ho? kyun kuch koi baat nahi ho?
tou bol jo ghusse may keh deta, samajhte hosh khawas nahi ho
ab bhook aur pyaas nahi ho, kyun kuch ehsaas nahi ho?
kardi jo usne ab aane may dair tou baatein karein ge phir laash se woh
[chorus: shareh]
chup se sehte rehte bojh, nahi milte hain yahan kandhe
chalte muu utha ke roz, ab bus khud ke he dum pe
aksar gala deti ghont yeh ruswayi ke phanday
bus ab karay yehi khoj aakhir kab tak yeh sahay (sahay, sahay)
hum bus kehte reh g_ye (g_ye, g_ye)
baaqi kuch bhi naa rahe (rahe, rahe)
aakhir kab tak yeh sahay? (sahay, sahay)

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...