kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jazbaat - haqeeqat كلمات الأغنية

Loading...

[hook]
asliyat haqeeqat ye sare jaha ki kuch aur hi hai
log denge tameez tab haisiyat ho ye sach ya jhooth bol bhi de
hogi taklif tak mazeed jab ho jaaye woh lahu se behta hua phool tod diye
har chiz ki dawa dua me khuda pe tawakkul roz bhi hai
jab chahe saans ruka ke rooh utha ke ye usul maut ki hai
tu gurur chhod bhi de
kuch nahi hasil mausiqi se yahi bawajud rozi roti hai

[verse 1]
hujoom ki kya zarurat apne hi kafi hai jab mujhe mawazna ho
sukoon se kehte hai log pansi pe yaha marna hai shauk
khudkushi zindagi se sharart na karo meherbani hai mazak na karo
zindagi hai baki seene me shahar hai aaj bhi waha galiya hai dene wale hazar log
bazaar me meri mehnat ki kimat aur rakam na ho
aisa kab hath me chhale aur hath me kalam dil me zakam na ho
dekha mene tareek_е_zeest ye kesa bachpan ka ho
aaj koi merе sath nahi ab kise kahu sath sath raho
namaz ka naam loto j_sm ho jaega sust jab namaz padhna ho
aazan ka jawab do aur namaz qaza na karo
ab rishto se zada aham ho g_ye hai paise khazana jo
khuda ne kam nahi kiya jab mujhe nawazna ho aur mujhe sawarna ho
me chahta hu mujhme aur zada malal na ho
apko aadat nahi dusre chizo ki isliye zalimo ke masnoaat ko nahi kare hai boycott kya hum insaaf ke hak ke madad ke layak bhi nahi
har waqt palestine me baccho ki shahadat hai nazar andaaz karne ka bi sawal hoga hashr me ye baat insaaniyat ki hai sirf mazab ki nahi
[verse 2]
bhook marke dena padta ghar ka kiraya hai mujhko marde dukh dard ab yaha jina kya hai
be rehem sare log jab muh se roti chheena rahe umeed toh ye zehen me rahe ghar walo ko mujhpe umeed na rahe, mujhpe yakeen na rahe mene likhi hai geet hogi jeet jab sangeet chale behen ko hakim banna hai mujhe haakim banna hai lekin dil na lage
me khwaab tod du aisa din na aaye waisa din na rahe
rohkar gir jaunga jab mere parwardigaar ke samne sasde me girna pade
ghar me pareshaniya to samajh jao paison ki baat aaye
yaha paison se insan rahe
na fakiron se gairon se insaaf ki baat kare
shukriya marne ke bad mujhe jobi yaad rakhen
na mere khandan se koi sath khade sath rahe
na koi mera unse kirdaar rahe, ye baatein khoon se nikal rahe, sare izhaar kare, yaadein itraaz bane
tu kya karta hindu musalman
chhod de karna hindu musalman
kholke baithe hai nafrat ki dukaan
ye rishta bahot purana aur gehra hai zarurat nahi hai karne ki gumaan
zarurat nahi hai dene ki burhan
sab bolo, hum nahi karenge hindu musalman jaye ho jaenge kurbaan
izzat denge guru granth sahib, bible, bhaghwath geeta ho ya quran

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...