kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jani - blindfold lyrics

Loading...

[verse 1]
sab mere ghusse se tang hain koi na pooche dil ka haal kya?
nahi uthata hun phone mein kisi ka mera dil nai chahta
maa baatein sunaye mein raato ko waqt par ghar nai ata
heavy anxiety panic attacks mein jagah sey hil nai paata
kar g_ye bad zabani
par koi aik martaba nai
lagan kuch iss tarah ki
ke kardun inteha bhi
eenth sey eenth baja di
bheer sey bheer jama ki
kis moun sey mangun mein madad?
yeh dunya haq jatati hai
kya meri koshish abb sahi mai kisi kaam nai ati?
ya mujhey subah ka saweera bol kar kisi ney shaam dikhadi?
phanso nai mujh mai karou nai maghaz maari yeh khamakha ki
sab karam uss maalik ka bhejey woh hunar yeh aasmaani
ehsaas kay zehan tabut rakhtey hai nazar yeh bahar nai ayega
na off hain here upon the same beat tou beta tu star kehlayеga?
look out to table return, mila hai sab auqaat sey zyada
stood on еverything i said, banta nai kisi ka piyaada
inn sab kay shikwey ginta hun
par iraadou mai pukhta hun
yeh kiya mitayengey mujhey?
logo kay dil mai zinda hun
yeh khaatey khaar hai mujhsey
mein kis hadh tak sanjeeda lun?
mein kiyun kharach karun safhey mai?
tum kou lun pey likhta hun
[interlude]
jani! jani! jani!

[verse 2]
mera shehar jalah
tou kitney ghar paley
log ayaash shehar tabah abb dikhtey bas waqt par hain
middle fingers to the government
kon kaisa hai sab khabar hai
rakba hai shehar ka zyada gharou sey zyada hain qabrey
kabhi mein hit tou kabhi mein flop phenkun
har gaaney kay naam par sooch bechun
har dushman kay aaqs mai dost dekhun
har jeet kay baad flaws mai hun
woh chahtey mar jaye jeetey jee
aur kitney unkou moqay dun?
wajoob hee nai hai tera koi
nai dekhney mujh kou doghley moun
raatou kou neend na aye
khayal kay waapis abb cheen na jaye
phir woh toot’ta hoosla jurey
jou suney woh milney aye
shakk hai salaihaat par
kabhi na kehtey woh moun peu
shabashi ka shoor buht
mein sunn hee na paun yeh choo chein
lagti hai bad’dua mujhey
jab bhi koi kehta hai ban’na hai baap sa
meri aik alag hee zehniyat
mera aik alag mizaaj tha
ghaib kay pardey hatey tab pata lagey kon kis hisaab ka
filhal tou sab takleef mai faraq kiya parey kon kis kitaab ka
kiya baaqi raqeeb thay merey woh? ya bas woh aik gumaan sa?
kiya mera hunar hee merey apnou ki asal tabahi ka samaan tha?
peechey nai hatna abhi bhi kayi dafa mein khud kou daanta
safar mai hun milunga hashar mai tabhi yeh intezaar raha

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...