kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

iconik - restart lyrics

Loading...

intro

someone please fill the void

which is in my heart

and wash away the scars

from the falling star

and if you can’t

then let me go back to my canvas

cause i guess

it’s time to restart

it’s time to restart

it’s time to restart

it’s time to restart

verse 1

back to the basic

jab tumhe aaye na samajh

ki kya ho raha hai galat

back to the basic

jab bawajood dene ke efforts

aaye na result

back to the basic

jab tum ek loop me g_ye ho fas

aur bahar ka raasta aaye na nazar

back to the basic

easier said than done

jab kissi cheez me lag jaayе man

aur usse karke dafan
dusre kе sahaare vyat__t karna pade jeevan

i know it’s hard to admit

ki jiske khwaab hai aap ne bunne

uske liye ho hi na aap banne

par kuch cheezen karni padti hai rakhke dil pe pathar

nahi toh woh dil pathar ka bana deti hain

jinhe samjhte the aap umeed ki door

wohi faansi ke phande chadha deti hain

ye zindagi ka khel bhi bada nirala hai

jo wagt deta hai har cheez ka jawaab

usse ameeron ne apni kalai pe baandha hai

agar hai koi upar jo likhta hai sabka hisaab

toh kabhi dekhna daftar me, kitni file’n pe laga jala hai
mein kai hi g_ya tha dilaane apni kaabiliyat ko insaaf

pata chala ye vakaalat, katghara, adaalat sab chalawa hai

isse toh behtar kholo ek nayi kitaab

aur bolo mere saath

hook

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

verse 2

log kehte hai shuruaat karma hota hai aasaan

anjaam dena hai badi baat

par ye pucho usse jise ek naye sire se dekhne the saare khwaab

aur hisse me aa g_ya aasmaan

mein jaanta hoon mushkil hai sab peeche chodhkar aana

jis par karke naaz sir pe phera tha haath

uska apne haathon se gala dabana

par ye zaruri hai ki tumhe ho ehsaas

ki ye zindagi chahe de ya na de tumhe dusra chance

par tumhe har haar ke baad karni padti hai ek nayi shuruaat

bhai hoti toh sabko hai manzil ki firaaq

lekin uske saath safar ki kadar bhi toh zaruri hai

uske bina toh ye zindagi hi adhuri hal

aur ek ke na hone se dusre ke maaine thodi na khatam ho jaate hai

is duniya me kuch zaaya nahi hota

agar kahi paani bhi giraate hai toh apni maa ki pyaas toh bhujaate hai

toh kis baat pe ho maayoos

aao ek naya ghar banate hai

usme umeed ke diye jalate hai

usse khushiyon se sajate hai

aao phir ek baar shunya se

ittihaas banate hai

hook

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

shunya se karenge shuruaat

phir se karenge sab, restart

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...