kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

iconik - na jaane كلمات الأغنية

Loading...

hook

na jaane kya chal raha hai zindagi me
jazbaat na jaane kyun marne lagge hain zindadili me
thode se besabar hain
thode bezaar hain
dil me hain sikhwe kayi
par na jaane kis baat se naraaz hain

verse 1

na kahi ab man lagta hai
kahe sab, ye bus teri kalpana hai
zindagi hai ye, kuch cheezon se samjhauta karna padta hai

lekin hum toh bus rukke zindagi ko dekhna chahte hain
jab halaat hi jeene ka dhang seekhate hain
toh phir kyun andheri aakhon me sapne sajaaye jaate hain
kehta phirrun mein unme se nahi jo duniya ke rango me mil jaate hain
thokaron se taraashe jaanе wale parchaaiyon se tasveerein banatе hain
lekin sach toh yahi hai ki aks bhi roshni me hi nazar aate hain
ab lagge jese ye sab bus dilase hain
aur mushkilon ke samay na inme se kuch samajh aate hain

bridge
na jaane kya hi chal raha hai zindagi me
jo khud hi khud se pareshaan hain
lagge khushiyon ki khwaahish bhi ab bebuniyaad si
kon samjhega ye ki khamoshi hi toh dil ki asli awaaz hai

kaha kho g_ye wo lamhe befikri ke
jo dekhun toh wo pal bhi ab lagte hain bekadri se

verse 2

haal filhaal mein khud na jaanu mein khud se kya hoon chahta
ek taraf mere maa baap ki hai ye asha
ki padh likhke kissi kaabil mein ban jaun
aur ek taraf mein jo din raat apne sapno ke peeche hoon beetata
ab tumhi batao mein apni diliaarzoo ko dil me hi kese dafnaun

lagge jese bat chuki hain do rahein
ek kehti niyati ko sahil b_n_le
ek kehti khwaahishon ka parcham lehra de
meri zindagi me kya chal raha hai koi mujhko bhi toh samjha de

haal filhaal karna toh bhot kuch chahte the
bus kuch cheezon ko had se zyada ahmiyat de jaate the
aur kuch shauk bus muraad banke reh jaate the

bridge
khoye the khayaalon me
soye the bechaini ke sirhano pe
kad se bade mansoobey lagne lagenge
jab khudko umeedon ke tarazu pe mapoge

hook

na jaane kya chal raha hai zindagi me
na jaane kya sahi kya galat hai
lagge jese ye chahatein bhi badi nasamajh hain

outro

ye fasane hai bus swaalon ki gardishon ke
afsurdagi aur ranjishon ke
kya tum kabhi meri dil _ e _ dastaan samjhoge

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...