kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

hasn x - zamana كلمات الأغنية

Loading...

umar 14 meri tab saal se mein likh rha
15 saal ka mein hone wala
maa ke ilawa nhi dikha koi
jo daale moun me pyar ka niwala
sab bane hue paise ke pujari
akhirat ki nahi parwa
jese hon inko retry wali bemaari
zindagi ka chal raha khel
dimaghoun ko laga inke zung
jese dastyab na ho tail
paper de rhe loug insaniyat ke
unmein yeh horhe fail
.
likhein mene bht si baatein dunyawi
maana likhai achi nhi
phir bhe lafz bayan kar rahe sachi kahani
pagal panti inke saroun pe hai haawi
ghalti ke baad khud se hi mangte yeh maafi
khud bure ho kar
khuahish kar rhe yeh achhe dinoun ki
ache loug bhe umeed kar rhe
burroun se ache ki
ehsasaas e kamtari, par
haram ki kamai toh kese khaye koi halal roti
.
andhery mein mein betha tha
aur sach raha tha mein bol
haan hai duniya toh gol
ignore krte thy loug muje
ab dms bhare hue mere
muje kehte ab bhai tum reply kyu nhi de rhy
soch rhe yeh
andhery wali duniya mein kyu nhi hote sawery
udaas se chehry aaj bhe kyu nhi muskura reh
jhotay chehre inke sach yeh bata rahe
aeitebaar nahi tabhi yeh azmaa rahe
.
baahir niklo gali mein toh
aate nazar cigerate peetay bachay
haal inke behtar nahi
aur larkion pe yeh marte
baroun ki mein kya hi baat kroun
ghurbat ki wajah se jaib mein pistol rakhtay
loot’te logoun ko aur goliyan un pe dhartay
agar bachpan mein yeh parhte
toh aaj galiyoun mein na rultay
mehnat karte toh kamyaabi ke darwaze khulte

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...