kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

gravity - samay كلمات الأغنية

Loading...

[verse: gravity]
paaydaan pe khada, chal rahi yeh gaadi meri
hilti gaadi jaise lori, mujhko yeh sula hi deti
zindagi yeh rail, jo milte hai woh jaate chhut
mann ka rang hi maila jiska usko mai lagta acchhut
samay ka pahiya chalta jaaye, saath le chale woh
thamna chahta, humsafar jo saath reh sake toh
par muskurata chahe jitni bhi udaasi, aakhon mai hai aasu, kehta hu ke hai ubaasi
kaaton ki tarah hi ghumta hu mai aawara
par madhyakaal mai waha milu jaha sahara
toh bajne de ab woh ghadi jo neendon ko udaade
ab toh maut hi woh bistar jo pyaar se sula de
kar puri muraade mera devta hi hai samay
ghumta hua yeh anko ka milan, yeh baarah raashi
kya hai hona kal ka mera? na tu jaane, na mai, baaki toh hai khel waqt ka
samay ka na ke shakhs ka, shah ka rukh hi rakt se saja, badalna takht, raja runk ban g_ya
samay ka dunk pad g_ya, zeher yeh ghol aatma mai
shankh baj g_ya, toh honi waali jung, ab toh danka baj g_ya

[hook]
samay bhi kya harayegi iss maut ko abhi?
khama_kha samajh raha tha khauf ko kavi
jo ki likh raha hai panktiya, aakhri iss anth ki
sangeet ki tapasya fir bhi na hai maine bhang ki

[verse: gravity]
khatm ho chuka hu kaafi baari, khichi dil pe aari
ho chuke hai tukde kaafi

par fir bhi mujhpe taare tim_tima rahe
mujhko saare zakhm mere din gina rahe
fir bhi mai na chhodta ummeed kyuki dubne ke liye jaha sagar, wahi pe toh kinaare hai
suni thhi si zindagi, par ab kai taraane hai
makhmali libaaso ke hai sapne par zamaane ne na chhoda mujhko hai sahi
garib yeh gharaane hai, mann ke iss baagiche mai ab ashko ke fawwaare hai
ab toh saari khushiya sangeet ke hawale hai
noton se hai nafrat bhaage fir bhi hum kamaane hai
har ghadi badalti zindagi, saare tapte dhoop ki talaash mai nahi par roshni ke pyaase hai
mai sametta hu yaadein yaha, bikhre raahon par yeh kichad se
khudko jaankar hu khudpe hi naaraz aur alag ho chuka hu mai haqiqat se

[bridge]
sarhadein hai dil ki, jung meri jaari hai
khushiyon se bhaagna sada hi meri khaami hai
pal se pal mila ho jaise tan se tan juda ho
hai har janam hi kothri, na kaise mann bura ho?

[hook]
samay bhi kya harayegi iss maut ko abhi?
khama_kha samajh raha tha khauf ko kavi
jo ki likh raha hai panktiya, aakhri iss anth ki
sangeet ki tapasya fir bhi na hai maine bhang ki

[outro]
khatm ho chuka hu kaafi baari, khichi dil pe aari

ho chuke hai tukde kaafi
par fir bhi…. samay balwaan hai
samay ka shraap, samay azad hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...