kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

gravity - crashout كلمات أغنية

Loading...

[verse 1: gravity]
kya aapke paas jawaab sawaalon ke
jo poori duniya na jaane?
jaise yeh kismat hai likhi madaari ne
main phir se aagaya duniya nachaane
sab puche kya kar raha hai tu? kama raha ki nahi?
na koi puche kaisa hai bhai?
bas bhaade ki chhat sarpe
2 waqt ki roti chabaake kama raha hu maa ki duaein
woh boli thhi music mat chhodna jab daddy dum tode
bas kaanon mein goonje din_raat woh
jo ladka man of the house bane chhoti umar mein woh parwana dhoondhe bas aag ko
hypertension ke lakwe ne papa ko maara, woh aakhri shabd bhi na bol paaye
yeh dil leke chalta hai gham aur pachtaave jo koi tarazu na tol paaye
main toh roz dhoondhu bas ek wajah ki sab kab karu khatam, hoon itna jazbaati
jeevan nakaami dikhaata hai kaabil banane toh sangharsh hamesha hai jaari
almaari mein bhare kankaal unn sapno ke jinko na marne hai diya zara bhi
6 khokhe kama ke kuch karne ka soch bhi lu par phir poori zindagi baaki!
toh panno mein kaid
kaidi main, ghost
yeh mera hai punarjanam
mera hunar kare meri khoj
yeh sheher hai khel
hum mohre hai dost…
bas har din hai karna bharosa iss shraap ko dunga main tod!
meri zindagi hai pain…
tabhi badle hai mod
har masle ke kabze ko masle aur badhe
tabhi kuchlenge khauf!
kabhi koi dega saath, kabhi sab denge chhod
jab kuch bhi na mera toh main sab lunga chheen
sirf badhega yeh raub! b_tch!
[hook]
i’m gonna crashout!
i’m gonna crashout! (x4)

[verse 2: gravity]
jo pyaar tha zindagi mein woh bhi hogaya khatam toh bacha nahi kuch bhi bachane
ab guru ke aise kaarnaame ki lagta woh chal pada apni hi kabar sajaane!
bekhabar tha baitha zamaane se socha yeh zindagi badlegi paise kamaake
par duniya hai khokhli toh main bhi dogle logon se chalta ab nazar bachake!
bematlab woh bachpan jo marr jaaye jab tune jeene ka matlab bhi seekha na ho
berehem yeh bambai ki maya phasati jab saare anjaane thhe jeene ke taur
main thakk chuka maang ke jo hai mere hisse ka, mera yeh kissa amar jo na ho
toh laanat iss duniya pe, phir bhi main chhaap apni chhodu shikhar pe, yeh hai mera daur
na yuhi marne ke liye guru tha bana baazigar
main sabar rakh ke bas karta karam
hai mere likhe lekh jaise aaine anek jinme dikhte mujhe mere kal ke zakham
jee raha unn iraadon ke liye jo thhe bane
maine khudko bachaane ki thhi khaayi kasam
bhaag raha yamraj se bhi, maut se bacha
itihaas mein chhapta naam jabse janam
yuvraj se bana maharaj ab bana saamrajya
karta main raj
yeh lohe ke haath jab karte hai shaasan
na _n_shasan, toh tu khidki ke bahar
yeh paribhasha bhasha nayi banaye
jo mere alawa koi bole na
kabhi tole na thuke jab aag ke gole
tabahi ko kaise koi rokega!?
[hook]
i’m gonna crashout!
i’m gonna crashout! (x4)

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغنية الشائعة حالياً

Loading...