kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

fury rapsters - zamana galat كلمات الأغنية

Loading...

[chorus: shaikh]
zamane se dur ab dete zakham ab ghoor kar sab gawah ho na bhoolna
kuch na hota mehsooos ab
loot ab is qadar machi ke khaali sab ke dar bekhabar sa is safar mein
marke jaana ab kidhar

zamane se dur ab dete zakham ab ghoor kar sab gawah ho na bhoolna
kuch na hota mehsooos ab
loot ab is qadar machi ke khaali sab ke dar bekhabar sa is safar mein
marke jaana ab kidhar

[verse 1: shaikh]
mai alag zamane se ye bheer ajeeb hai
peeche saare lakeer ke bojh samaaj par
mile naseeb se tou daruun na mushakkat se
chalun fakhar se rehta tab hi aaj kal

raaton ko ghar se bahar bajte chaar
sab se khaar sakht mizaaj apne haar
ke mai aaj dum pisaach dil mein aag
is tarah mai ikhtilaaf rakhta naap
rasta saaf sab dafa hon ab yahan se gum chuka

qadam hateinge na peeche kabhi lelo waada
iraada jeet ka tou kese chorein safar aadha
jo aata karte khud girte seekhte larte khoob
gham ke bheege haq pe chup kyu
parhke bharte parche khud
nazar nishaane par eyes on the prize hai
khare hum jaise bhi aaj ghum ke baiss hain
na dekhein faidey,logon ke alag zaikey
phir hum hi se shikayatein,mai karun inhe side pey

[verse 2: mirza]
ghalat zamana aake dekh hai sabaq ke gaana
sab haq pe maanein khud ko safhalta chaahein paana
samajh na paate binsafar na milta hai thikaana
bas harana bas dabana chahte hain ye bas giraana

chaaro taraf hi bas dikhey andhera
sehta vo sab par vo chup kuch nai kehra
aankhein hain laal khoon zakham se behraha
dam ghutta cheekha tou har koi tha behra

na thehra koi ruka na sunke sada
pehle nochein zakham phir vo dete dawa
har dafa jo dagha tujhe mili bata
kyun tu khojta mirza insaan mein wafa

insaan mein wafa milna mushkil
kaale dil mu pe bante ye mukhlis
insaan mein wafa milna mushkil
safar gawah meri gawah hai manzil
sangdil badle rang jo ghaafil kal the mujhse ajj kyun
mehfiloun mein zikr mera karna chahte baat kyun

nahi mujhe nahi yaad tu
nahi tha kal mere saath tu
or ajj tu hai peeche nazrein neeche
sar ko peetey raste seedhe mere

na dekhunga mai murrkey
manzil bhale door par ye qadam nahi ruktey

[chorus: shaikh]
zamane se dur ab dete zakham ab ghoor kar sab gawah ho na bhoolna
kuch na hota mehsooos ab
loot ab is qadar machi ke khaali sab ke dar bekhabar sa is safar mein
marke jaana ab kidhar

zamane se dur ab dete zakham ab ghoor kar sab gawah ho na bhoolna
kuch na hota mehsooos ab
loot ab is qadar machi ke khaali sab ke dar bekhabar sa is safar mein
marke jaana ab kidhar

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...